Mobile World

Monday, February 21, 2011

Sufi Barkat ALi( Hazrat abu anees muhaamad barkat ali al-ludhianivi

Sufi Barkat ALi( Hazrat abu anees muhaamad barkat ali al-ludhianivi
(picture of baba ji sufi-barkat-ali) daalowaal.

Birth and early life of hazrat sufi barkat ali.

Hazrat sufi barkat ali was born in a Muslim family belonging to the dhariwal jutt ethnic group.His father mian nigahi bukhs was a employee of the british army.like the other Muslims janab hazrat sufi barkat ali lean the quran in his childhood and get education from halwar school.sarkar called by lot of follower ;s to sufi barkat ali.




Professional life of sufi barkat ali ::

At the age of 19 years sufi barkat ali joined the Royal Army military. as a commision officer in enginering core on 9 april 1930.he also get a award from academy of india.


Married Lif and Family of baba ji sufi barkat ali::


He married at the age of 16 with barkat bibi in august 1927.who died on january 1978.His family consists five daughter and one son.




Sufi Barkat ali (Bay'ah)::


Hazrat peer sufi barkat ali took the bay;ah of his peer hakeem meer ul hassan saharanpuri.


Basic Teaching of Hazrat sufi baba barkat ali .
Hadrat Abu Anees Muhammad Barkat Ali Al-Ludhianiwi (Quduus Sirruhul Aziz), also referred to as Babaji Sarkar by his disciples-Watch Sufi Barkat Ali Videos for free online VideoSurf brings you the best Sufi Barkat Ali clips, interviews and Sufi Barkat Ali news and gossip videos-Hazrat Abu Anees Sufi Muhammad Barkat Ali Ludhianvi (QaddasAllaahu Sirruhul 'Azeez) picture 

Wednesday, February 9, 2011

urdu poetry:: Ghazal ,shair,ashaar,


Kuj shoq si yaar faqeeri da
Kuj ishq ne dar dar rol dita
Kuj sajna kasar na chori si
Kuj zeher raqeeban ghol dita
Kuj hijar firaq da rang chareya
Kuj dard mahi anmol dita
Kuj sarr gai qismat v meri
Kuj peyar vich yaaran rol dita
Kuj onj v rahwan okhiyan san
Kuj gal vich ghaman da toq v si....
Kuj sheher de log v zalam san
Kuj sanu maran da shoq v si...!!!



farz karo ham ahl-e-wafaa hoN, farz karo diivaane hoN
farz karo ye donoN baateN jhuuTii hoN afsaane hoN

farz karo ye jii kii biptaa jii se joR (?) sunaayii ho
farz karo abhii aur ho itnii aadhi ham ne chhupaayii ho

farz karo tumheN Khush karne ke dhuuNde ham ne bahaane hoN
farz karo ye nain tumhaare sach-much ke maiKhaane hoN

farz karo ye rog ho jhuuTaa jhuuTii peet hamaarii ho
farz karo is peet ke rog meN saaNs bhii ham pe bhaarii ho

farz karo ye jog-bijog kaa hamne Dhong rachaayaa ho
farz karo bas yahii haqiiqat baaqii sab kuch maayaa ho


Mere leye tu harf-e-dua ho gaya wo shakhs
Sare dukhon ki jaise dawa ho gaya wo shakhs

Main aasman pet ha tu zameen ki kashish tha wo
Utra zameen par tu hawa howa ho gaya wo shakhs

Sochon bi ab usse tu takheel ke par jale
Muje se juda howa tu khuda ho gaya wo shakhs

Sab askhk pi gaya mere aandar ka aadmi
Main khushk ho gaya ho hara ho gaya wo shakhs

Main us ka hath dekh raha tha ke dafatan
Simta simat ke rang-e-hina ho gaya wo shakhs

Pirta hai le ke aankh ke kashkol dar ba dar
Dil ka bharam luta tu gada ho gaya wo shakhs

Partha tha main nimaaz samaje kar usse rasheed
Phir yun howa ke muje se qaza ho gaya wo shakhs


kisi ka sath nibana kamal hota hai
kisi ko pir say bulana kamal hota hai
woh muje ko chor gaya tu koi baat nahi
ki dil ko sbar dilana kamal hota hai
khud apne dard ko hr koi jeel leta hai
kisi ka dard batana kamal hota hai
koi pahar girana nahi hai namumkin
giry huwy ko uthana kamal hota hai
kisi andair ko sehna kamal lagta hai
pir us ma deep jalana kamal hota hai
bahar rut ma to ugty hai phool baghon main
khazan ma phool ugana kamal hota hai
kisi ki ank sy doori tu zulm ha hasrat
kisi k dil ma samana kamal hota hai

Tere bad kisi dost ki khawahish na rahi
Dil ki banjar zameen par koi barish na rahi

Kaha se lawoo wo qarar raat din
Tere hijar main hosalon ko kawish nahi rahi

Dushman aur dost sab juda ho gaye
Zindagi ko muje se koi sazish na rahi

Main tu aur bi bikharna chahta tha muhabbat main
Lekin teri janib se azmayesh na rahi

Khusbon ki manend khud hi numaya ho gaye
Jin phoolo ki kabi numayish na rahi

Dilon main dharkan aur ankhon ka roona na raha
Sach hai muhabaton main ab asayesh na rahi

Samandar b piyase lagne lage hai rifat
Daryaon main piyaas bujane ki rawish na rahi

Tere bad kisi dost ki khawahish na rahi
Dil ki banjar zameen par koi barish na rahi

Kaha se lawoo wo qarar raat din
Tere hijar main hosalon ko kawish nahi rahi

Dushman aur dost sab juda ho gaye
Zindagi ko muje se koi sazish na rahi

Main tu aur bi bikharna chahta tha muhabbat main
Lekin teri janib se azmayesh na rahi

Khusbon ki manend khud hi numaya ho gaye
Jin phoolo ki kabi numayish na rahi

Dilon main dharkan aur ankhon ka roona na raha
Sach hai muhabaton main ab asayesh na rahi

Samandar b piyase lagne lage hai rifat
Daryaon main piyaas bujane ki rawish na rahi

Kabi apna kabi us ka kiyal rehta hai
Zindagi se ajab sa malal rehta hai

Aankhon se aanso tu behte rahen ge
Jab dil main koi wabal rehta hai

Us ki mohabbat se tha ye dil roshan
Us ki nafrat se ye dil bad hal rehta hai

Kis juram ki saza main wo muje se howa juda
Aksar yahi mera khuda se sawal rehta hai

Kisi ko toot ke chaha tu howa ye ehsaas
Ke har Rifat lo zawal rehta hai

Bichar ke mohabbat ki qafle se Dosto!
Har musafir nidhal rehta hai

Wo phool jis se aaye muhabbat ki khushbo
Wo chaman main misle jamal rehta hai

Wo bichar tu gaya hai lekin Rifat
Us ka intizaar ma-o-saal rehta hai

jis shaks ke baghair guzara na ho saka
yeh kia sitam ke woh hi hamara na ho saka

aankhon ne jiske waste sadyon ka safar kia
woh yun mila ke uska nazara na hosaka

maine har aik rukh pe nigahain bikhair din
lekin badal koi bhi tumhara na hosaka

jo rah-e-guzar ishq main pathar baney rah
unsa kisi bhi tor kinara na ho saka

mujhko kis liye shikwa ho ghair se
khud jab main apne dukh ka sahara na ho saka

Gungunatay Hue Anchal Ki Hawa De Mujh Ko
Ungliyaan phair Ke BAloon Main Sunlla De Mujh Ko
Jis Tarah Faltu Guldaan Paray Rehtay Hain
Apne Ghar Ke Kisi Konay Se Lagga De Mujh Ko
Yaad Kar Ke Mujhe Takleef He Hoti Hogii
Aik Kissa Hoon Purana Sa Bhulla De Mujh Ko
Doobtay Doobtay Awaaz Teri Sunn Jaoon
Akhiri Baar Tu Sahil Se Sada De Mujh Ko
Main Tere Hijr Main Chup Chaap Na Marr Jaoon Kahin
Main Hoon Saktay Main Kabhii Aa Ke Rulla De Mujh Ko
Dekh Main Hogaya Badnaam Kitaboon Ki Tarah
Merii Tasheer Na Kar Ab Tu Jalla De Mujh Ko
Rhootna Tera Meri Jaan Liye Jata Hai
Aesay Naraaz Na Ho Hans Ke Dekha De Mujh Ko
Aur Kuch Bhi Nahi Manga Mere Malik Tujh Se
Us Ki Galiyoon Main Parii Khaak Banaa De Mujh Ko
Log Kehtay Hain Ke Yeh Ishq Niggal Jata Hai
Main Bhi Is Ishq Main Aya Hoon,Dua De Mujhe Ko
Yahi Okaat Hai Meri Tere Jeevan Mein Ke Main
Koi Kamzoor Sa Lamha Hoon, Bhulla De Mujh K

USEY APNEY FARDA(azeez) KI FIKER THI
WO JO MERA WAKIF-E-HAAL THA
WO JO USKI SUBHA-E-AROOJ THI
WOHI MERA WAQT-E-ZAWAL THA
MERA DARD WO KAISE JANTA
MERI BAAT WO KAISE MANTA
WO TO KHUD FANA K SAFER ME THA
USEY ROKNA BHI MUHAL THA
KAHAN JAO GEY MUJE CHOOR KER
MEY YE POOCH POOCH KER THAK GAYA
WO JAWAB MUJEY NA DE SAKA
WO TO KHUD SARAP-E-SAWAL THA
WO JO USKE SAMNEY AA GAYA
WOHI ROSHNI MEY NAHA GAYA
AJAB USKI HAIBAT-E-HUSAN THI
AJAB USKA RANG-E-JAMAL THA
SAMEY WAPSI USEY KYA HUA
NA WO ROSHNI,NA WO TAZGI
WO SITARA KAISE TOT GAYA
WO JO APNI MISAL AAP THA
WO MILA TOU SADION BAD BI
MERE LAB PER KOI GILA NA THA
USEY MERI CHUP NE RULA DIA
JISEY GUFTUGU ME KAMAL THA
MERE SATH WO LAG KER RO DIA
MUJE FAQT WO ITNA KEH SAKA
JISEY JANTA THA MEY ZINDAGI
WO TOU BUS WEHM-O-GUMAN THA


Jee chahta ha ye kaam kro’n,
Tujhe duniya main badnam kro’n,
Teri Bholi Bhali Seerat pe,
Kaii jhootay mien Elzam kro’n
Soo daagh hain teri Hasti mien,
Har shakhs ko ye pegham kro’n,,
Teray subho jesay chehray pe.,, Udasiyo’n ki sham kro’n,
Koi Aashiq tera naam na le.,
Tujhy itna main *GUMNAM* kro’n,
Tu Ban jaye Bekar Zamee’n, . . .
Phir Tujh ko apnay Naam Kro’n…!

BEET jaye na kahin raat koi baat karo,
JANE phir kb ho mulaqaat koi baat kro,
BEWAFA mujh ko kaho YA koi shikwa hi kro,
HAI gawara teri hr baat koi baat kro,
ROOTH jao hr bar tumhain MANAA lein ge,
KUCH to smjho mere jzbat koi baat kro,
TUJH ko dekha ha to thmnay lagi zakhmon ki jalan,
DO na dard ki soghaat koi bat kro,
MAUSAM-E-HIJR may V raan hai mery dil ki zameen, PAL may ho jaey gi barsat koi bat kro..

Ye Yaad nhi kya kuch khoya,
Bas Yaad raha muje PYAR hua,
Jab PYAR hua sab bhool gya,
Ek Yaad raha bas naam tera,
Hum masjid mandir bhool gaye,
Muhe Yaad raha bas sath tera,
Kuch saalon bad wo hum se mili,
Mein pooch betha kya haal tera,
Wo hans k boli aye PAGAL,
Tu ye to bta kya naam tera.

Hua jo kuch,
Bhulana chahieay tha,
Usay ab loat ana chahiey tha,
Ye sara bojh mere sar pe Q he?
Usay bhi ghum uthana chahieay tha,
Q chup chap hi taaluq tor dia?
Usay pehlay btana chahiey tha,
Usi ki yaad ki khushbu hai dil mein,
Muje jis ko bhulana chahieay tha,
Zra Ghalti pe mujh se ruth betha,
Usay kia, bas bahana chahieay tha?
Mujhe paa kar usay kia chain milta,
Jise sara zamana chahieay tha..!

Humein bhulne ka jis waqt faisla karna,
Phr apni aankhon se khwabon ko bhi riha karna,
Bas aik tum ho jis se dil ki bat kartay hen,
Hmari baton ka sab se na tazkra karna,
Chunay hen hum ne kuch ajnabi rastay,
Jo ho skay to humare lie dua karna,
Tmam din ki thakan ko utarne k lie,
Zra si dair yaad kar lia karna,
Gar judai ka poochay koi sabab tum se,
tou hum pe nit naye ilzaam dhar lia karna,
Hum aise qabeele mein reh rhe hen MOHSIN!
Jahan logon no seekha hi nhi wafa karna.

Kbi barish brasti hai,
to mujh ko yaad ata hai,
Wo aksar mujse kehta tha,
“Muhabbat 1 Barish Hai”
Sbi pe jo brasti hai,
Mgr phir bhi nhi hoti sbi k wastay yaksan,
Kisi k waste Rahat,
Kisi k waste Zehmat,
Mein aksar sochta hun ab,
Wo mujse theek kehta tha,
“Muhabbat 1 Barish hai”
Sbi pe jo brasti hai,
kbi muj pe bi brsi thi,
Magar mere liye barish,
kbhi na ban ski rehmat,
Ye rahat q nhi banti?
Kbi mein khud se poochun to,
Ye dil deta duhai hai,
kbi kachay makaanon ko bhi
baarish raas ai hai?

Kbi barish brasti hai,
to mujh ko yaad ata hai,
Wo aksar mujse kehta tha,
“Muhabbat 1 Barish Hai”
Sbi pe jo brasti hai,
Mgr phir bhi nhi hoti sbi k wastay yaksan,
Kisi k waste Rahat,
Kisi k waste Zehmat,
Mein aksar sochta hun ab,
Wo mujse theek kehta tha,
“Muhabbat 1 Barish hai”
Sbi pe jo brasti hai,
kbi muj pe bi brsi thi,
Magar mere liye barish,
kbhi na ban ski rehmat,
Ye rahat q nhi banti?
Kbi mein khud se poochun to,
Ye dil deta duhai hai,
kbi kachay makaanon ko bhi
baarish raas ai hai?

Aks-e-Khushbu hun, bikharne say na rokay koi,
Aur Bikhar jaon tou mujh ko na smaitay koi,
Kanp uthti hun ye soch k tanhai mein,
Mere chehray pe tera naam na parh le koi,
Jis tarha khawab mere ho gaye reza reza,
Is tarha se na kabhi toot k bikhray koi,
Main tou us din se hirasaan hun jab kukm milay,
Khushk phoolon ko kitabon mein na rakhay koi,
Ab tou is rah se wo shakhs guzarta bhi nhi,
Ab kis umeed se darwazay se jhankay koi…….

Ajeeb shakhs tha har ik say pyar mangta tha,
Jahan na dard ho aisa dyar mangta tha,
Jo mangta tha wo dena meri bisaat na thi,
Wo meri rooh ka mujh se qarar mangta tha,
Usay talab thi koi toot kar usay chahay,
Wo hath jor kay ulfat ka izhaar mangta tha,
Mere khaloos pay shayad tha shak usay,
Wafa ki rah mein wo aitbaar mangta tha…

Kisi roz tum ko bhe meri bohot yaad aai gee
Kisi roz tum ko bhe meri bohot yaad aai gee,
mager us din bohot daer ho jai gee ,
tum milna chaho gee mager mujh ko daikh na pao gee,
tum dhoondo gee mujhe mager daikh na pao gee,
tum tarpo gee meri yaad main or aansoo bahao gee.
mujhe daikhe bina ik pal bhe na reh pao gee.
meri yaad main tum gum sum ho jao gee,
khud apni gali ka pata bhe bhool jao gee,
mere tasauwur main tum aise kho jao gee,
koi pukare ga tum meri hi bataen dohrao gee,
or main door khara teri baychaini ko daekhta rahoon ga,
or tum kuch pal ke liye mujh se khafa ho jao gee,
or main teri bikhri zulfoon ko sunwaroon ga,
or tum sharma kar mere gale se lag jao gee,
or phir jab tum rooth kar kaheen door chali jao gee,
us din me phir tum se yahee baat kahoon ga,
kisi roz tum ko bhe meri bohot yaad aai gee….

Juda honay ka andaisha
Juda hone ka andesha’ juda honE se pehle tha,
Wo mujh se intehai khush’ khAfa hone se pehle tha,
Junoon ka doar guzra to mujhe b bhool betha wo,
Namaz-e-ishq tha lekin, qaza hone se pehle tha,
Main kese soch sakta tha mujhy wo chor jayega,
Bohat hi ba’wafa wo bewafa hone se pehle tha…

Aadat nahi hay
Sir jhukaany ki aadat nahi hay,
Aansoo bahaany ki aadat nhi h,
Hm kho gaye to pachtao gay bohat,
Hamaari Lout k Aany ki aadat nahi hay,
Terey dar pay Muhabbat k sawali ban jaaty,
Lekin Haath phelaany ki aadat nahi hay,
Teri yaaden aziz hen bohat,
Magar Waqt ganwaany ki aadat nahi hay,
Tum sakht Dil nikle kya gila kren hum,
Shikwa -e-dil lab py laany ki aadat nahi hay,
Bad’dua b kya kren HAQ men tumhaary?
Hamain to Dil b dukhaany ki aadat nahi hay…

Woh pathar dil sahi hamara bhi ye dawa hai
Woh pathar dil sahi hamara bhi ye dawa hai
Hamaray lab jinhe chu le wo pathar bol utte
Raaz-e-hasti kuch nahi aksar yehi dekha gia
Be-khabar hanste rahe aur ba-khabar rote rahe
Me khanay ki tauheen hai rindo ki hatak
Kam zarf ke haath me agar jaam diya jayai
Hum karain baat daleelon se to rud hoti hai
Is ke honton ki khamoshi bhi sanad hoti hai
Abhi mitti na khunki thi abhi paani na barsa tha
Magar bazm-e-anasir me tere hone ka charcha tha

Lekin rehnay do
Saarey waadon ko bhula sakta hun,
lekin rehne do..!
Main tumhein chor k ja sakta hun,
lekin rehne do..!
Tum jo har morr pe keh daitey ho khuda hafiz,
faisla mein bhi suna sakti hun,
lekin rehne do..!
Tum ne jo baat ki dil ko dukhaney wali,
us per main muskura b sakta hun,
lekin rehne do..!
Sharam aaye gi tumhein
warna tumharey waaday,
main tumhein yaad dila sakta hun,
lekin rehne do.

Be-karaan tanhaaiyun ka silsila reh jaayega
Be-karaan tanhaaiyun ka silsila reh jaayega Terey merey darmiyaan bas ek khalaa reh jaayega Aks beh jaayenge saarey dhoop ke sailaab mein Aur koye paaniyoun mein jhaankta reh jaayega Mujhko merey humsafar, aisa safar darpesh hai Raasta kat bhi gaya tou faasila reh jaayega Laug so jaayenge khaamushi ki chadar odh ker Chaand sooney aanganoun mein jaagta reh jaayega

Tu is tarha se meri zindagi main shamil hai
Tu is tarha se meri zindagi main shamil hai jahan bhi jaoon yeh lagta hai, teri mehfil hai yeh aasmaan, yeh badaal, yeh raste, yeh hawaa har aik cheez hai apni jagha thikane pe kaii dino se shikayat nahi zamane se Yeh zindagi hai safar, tu safar ki manzil hai jahan bhi jaoon yeh lagta hai, teri mehfil hai Tu is tarha se meri zindagi main shamil hai tere bagair jahaan main koi kami si thi bhatak rahi thi jawani andheri raahoon main sukoon dil ko mila aa k teri baahoon main main aik koi hui mouj hoon, tu sahil hai jahan bhi jaoon yeh lagta hai, teri mehfil hai Tu is tarha se meri zindagi main shamil hai tere jamaal se roshan hai kainaat meri meri talash teri dilkashi rahe baki khuda kare k yeh deewangi rahe baki teri wafaa hi meri har khushi ka hasil hai jahan bhi jaoon yeh lagta hai, teri mehfil hai Tu is tarha se meri zindagi main shamil hai

Ye dard mit gaya to phir?
Ye dard mit gaya to phir? Ye zakhm sil gaya to phir…? Bichhar kar sochta hoon main, Wo phir se mil gaya to phir…? Main titliyon k shehar mein, Rahoon to mujh ko fiker hai… Wo phool jo khila nahi, Wo phool khil gaya to phir…? Tujhe bhi kuch nahi mila, Mujhe bhi kuch nahi mila… Tamam umer k liye, Ye dard mil gaya to phir…? Main is liye to aaj tak, Sawal bhi na kar sake… Agar mere sawal ka, Jawab mil gaya to phir…?

Kab kaun kisi ka hota hai
Kab kaun kisi ka hota hai Sub jhootey rishtey naate hain… Sub dil rakhney ki batein hain Sub asal roop chhupate hain… Ikhlaq se khali log yahan Lafzon ke teer chalate hain… I baar nigahon mein aakar Phir saari umar rulate hain… Who jis NE diye hain ashk humein AB us ko bhool hi jaate hain…

In jheel si gehri aankhoon main ik sham kahin aabad to ho
In jheel si gehri aankhoon main ik sham kahin aabad to ho is jheel kinaray pal do pal ik khawab ka neela phool khilay wo phol baha dain lehroon main ik rooz kabhi hum sham dhalay is phol k behtay rangoon main jis waqt larazta chand chalay us waqt kahin un aankhoon main is basray pal ki yaad to ho In jheel si gehri aankhoon main ik sham kahin aabad to ho phir chahay omer samander ki her maoj parayshan ho jaye phir chahay aankh darechay say her khawab gurayzaan ho jaye phir chahay phool k chehray ka her dard nomayan ho jaye is jheel kinaray pal do pal wo roop nagar eejad to ho din raat k is aaeynay say wo aks kabhi aazad to ho In jheel si gehri aankhoon main ik sham kahin aabad to ho

Koi titli hamarey paas aati bhi, to kia aati
Koi titli hamarey paas aati bhi, to kia aati, Yun ghut-ghut k mar jana, hamain manzoor tha laikin, Kisi kam-zarf per zahir na ki majbooriyan hum nay, Hum is mehmil main bus ek baar sach bolay thay, Zabaan per umer bhar mehsoos ki chingariyon ham nay, Samajhtay thay magar phir bhi na rakhi dooriyan humne, Chiraghoon ko jalanay main jala ‘ li ungliyan hum nay…

Muhabbat Ki Jhuthi Kahani Pe Roye
Muhabbat Ki Jhuthi Kahani Pe Roye Badi Chot Khai Javani Peh Roye Javani Peh Roye Na Socha Na Samajha, Na Dekha Na Bhala Teri Aarzoo Ne, Hume Mar Dala Tere Pyar Ki Meherbani Peh Roye Muhabbat Ki Jhuthi Kahani Pe Roye Badi Chot Khai Javani Peh Roye Javani Peh Roye Khabar Kya Thi Honto Ko Seena Padega Mohabbat Chupa Kar Bhi, Jeena Padega Jiye To Magar Zindagani Pe Roye Muhabbat Ki Jhuthi Kahani Pe Roye Badi Chot Khai Javani Peh Roye

Tu Ne Jo Chonk Kar Her Simth Nigah Ki Hogi
Tu Ne Jo Chonk Kar Her Simth Nigah Ki Hogi Mere Hi Dard-e-Mohabbat Ne Sada Di Hogi Ye Jo Moti Baraste Hey, Teri Yaad Mein Aksser Badloon Ne Meri Aankhon Ko Dua Di Hogi Jhilmillati Hooye Ek Baat Jo Sochi Mene MeMoN Ne Jaake Ussay Zaroor Bata Di Hogi Ziker Aaya Jo Kabhi Mera Uss Ki Mehfil Mein Khefiyet Mittane Ko Uss Ne Baat Ghhuma Di Hogi Wo Rah Se Guzrey Bhi Plutt Ker Bhi Na Dekhe Aakhiri Ummed Mareez-e-Ishq ki Bujha Di Hogi Dill Saada Tu Barra Khush Fehum Hey Lekin MeMoN Uss Ne Soorat Bhi Teri Kab Ki Bhulla Di Hogi Naam Koi Bhi Na Le Meri ZINDAGI ka Yahaan Shehar Mein Uss ne, Yeh MaNaDi karwa Di Hogi

Azeem Hai Yeh Qurbat Ki Doooriyaan
Azeem Hai Yeh Qurbat Ki Doooriyaan Sath Reh Ker Bhi Usko Na Pana Kesa Lagta Hai Kismat Main Nahin Phir Bhi Us Ko Chate Hai Yun Samjh Ker Kanto Per Chalna Kesa Lagta Hai Ab To Mehfil Main Bhi Humare Liye Tanhaye Hai Ghum Chupa Ker Mehfil Ko Sajana Kesa Lagta Hai Samjhne Per Bhi Samjhata Nahin Hai Dil Uski Yaad Main Raato Ko Jaagna Kesa Lagta Hai Us Ki Berukhi Ne Itne Diye Hai Ghum Zakham Chupa Ker Bhi Muskarana Kesa Lagta Hai Isse Kho Ker Mere Pass Rha Kuch Bhi Nahin Phir Bhi Khudh Ko Ameer Batana Kesa Lagta Hai Khudh Ko Anmol Samjhne Ka Tha Bara Ghamand Phir Bhi Bemool Bik Jana Kesa Lagta Hai Kahayei Hai Dhoke Mohabaat Main Itne Ke Phir Bhi Us Ko Cahana Kesa Lagta Hai Maloom Hai Memon Teri Manzil Nahin Hai Koi Phir Bhi Safer Kerte Rhena Kesa Lagta Hai Anmol To Aah Ker Bhi Ja Chuke Hai Kab Ke Phir Bhi Us Ka Intizar Kerna Kesa Lagta Hai

Aye mere hamnasheen chal kaheen aur chal,
Aye mere hamnasheen chal kaheen aur chal, is chaman mein ab apna guzara nahin. baat hoti gulon tak to sehlete hum, ab to kaaton pe bhi haq hamara nahin. jab gulistan ko khoon ki zarorat padi sab se pehle hamari hee gardan katee, phir bhi kehte hain humse ye ahle chaman ye hamara chaman hai tumhara nahin. aaj aaye ho aur kal chale jaoge yeh muhabbat ko meri gawara nahin, umr bhar kaa sahara bano to bano chaar din kaa sahara sahara nahin

Fizaoo main rang bharta hai tumhara chand sa chehra…
Fizaoo main rang bharta hai tumhara chand sa chehra… Mujhe bechain karta hai tumhara chand sa chehra… Usi ehsaas ka nasha liye phirta hoon duniya main akela… Meri khatir sanwerta hai tumhara chand sa chehra… Mujhe ye chandni raatein buhut bekaaif lagti hain… Jab meri aankhoun main ubharta hai tumhara chand sa chehra… Koi chehra meri aankhoun ko khera nahin ker sakta… Mujhe madhosh karta hai tumhara chand sa chehra… Meri basti se shayad iss liyay tum door rehte ho… Gehan lagne se darta hai tumhara chand sa chehra… Tawaja kis qadar dene laga hun aaj kal khud per… Mere charoun taraf jab siyah raat aati hai… To phir mujh mein uterta hai tumhara chand sa chehra… Mere se yun hi TUM apni dosti rakhna… Andhere main nikharta hai tumhara chand sa chehra…

Kaha tha tum say…mera intezaar na karna
Kaha tha tum say…mera intezaar na karna dunya chahey jo kahey tum aitebar na karna Aisa ho chuka hai kayee bar pehlay bhi ab ki bar tum koi bhi sawal na karna Din raat kat rahey hein ab to ussi k khyal mein wo lamhein wo ratein,unko yaad bar bar na karna Zindagi tanha hi sahi..kat rahi hai ab tak kis nay keh diya tha mohabbat ka izhaar na karna

Karray Hain Hijar k Lamhaat,Uss Se Keh Dena
Karray Hain Hijar k Lamhaat,Uss Se Keh Dena Bikhar Rahi Hay Meri Zaat,Uss Se Keh Dena Hawa-e-Mousam- e-Gham Uss k Shehar Jaye To Mery Dukhoon Ki Koi Baat Uss Se Keh Dena Yeh WeHshatein,Yeh Udasi,Yeh RatJagoo k Azaab Ussi Ki Hain Yeh Inayaat,Uss Se Keh Dena Bohat Taweel Bohat KarabNaak Hoti Hain Judayion Ki Har Ik Raat,Uss Se Keh Dena Vo Dil Ki Bazi Jahan Mujh Se Jeetna Chahey Main Maan Loon Ga Vohin Maat,Uss Se Keh Dena Wafa Ki Raah Mein,Main Aaj bhi Akaila Hoon Koi Nahi Hay Mery Saath,Uss Se Keh Dena

pyaas vo dil kii bujhaane kabhii aayaa bhii naheen
pyaas vo dil kii bujhaane kabhii aayaa bhii naheen kaisaa baadal hai jisakaa ko_ii saayaa bhii naheen beruKhii is se ba.Dii aur bhalaa kyaa hogii ek muddat se hame.n us ne sataayaa bhii naheen roz aataa hai dar-e-dil pe vo dastak dene aaj tak hamane jise paas bulaayaa bhii naheen sun liyaa kaise Khudaa jaane zamaane bhar ne vo fasaanaa jo kabhii hamane sunaayaa bhii naheen tum to shaayar ho ‘Qateel’ aur vo ik aam saa shaKhs us ne chaahaa bhii tujhe aur jataayaa bhii naheen

Manoos Kar Chkuey Hein Ye Diwar-o-Dar Mujhey
Manoos Kar Chkuey Hein Ye Diwar-o-Dar Mujhey Zindaan Ke Baad Raas Na Ayega Ghar Muhjey Umeed-e-Zindagi Nahee Aye Charah-Gar Mujhey Shaam Hogayee Tou Phir Na Hogi Sehar Mujhey Mein Ek Mata’a-e-Eshq Houn, Khhoya Agar Mujhey Shayed Na Pa Sakoge Kaheen Umar Bhar Mujhey Kiya Jeetay Ji Umeed-e-Rahayee Se Wasta Dhoka Na Dein Qafas Mein Merey Baal-o-Par Mujhey Dou Jan-ba-Lab Mareez Hein, Ek Marg-e-Muntazir Mein Uss Ko Dekhhta Houn Charagh-e-Sehar Mujhey Tang Aake Chordta Houn Dunya Ko Aap He Duyna Ghareeb Chord Ke Jaati Kidhar Mujhey Aayena Ban Raha Houn Kisi Ke Jamal Ka Kuch Sochtey Hein Dekh Ke Ahl-e-Nazar Mujhey Ma’adoom Ho Chuka Ye Ehsaa-e-Zindagi Chahein Tou Zehar De Dein Merey Charah-Gar Mujhey Jeeney Ki Hey Salaah, Ke Marney Ki Eshq Mein Dil Se Ye Poochna Hey Kahein Baythh Kar Mujhey

Laakh miltay hain hum bahanay say Pyar chupta nahi chupanay say Ummar guzari hay dar-badar apni Hum hillay thay zara thikanay say Aik jadu sa kar gaye mujh par Kuch makaan thay puranay say Baat karta raha main us say magar Baat banti nahi bana’nay say Ho jo mumkin to yeh bhi kar dekho Tum nikalo humain fasanay say Meri chahat main bhi woh baat na thi Woh bhi rukhsat hua bahanay say Yeh bhi rakha hay dhiyaan main hum nay Teer palta agar nishanay say…!!!

Wo samne aye to Nazron ko Jhukaa loon ga
Wo samne aye to Nazron ko Jhukaa loon ga Dekhoon ga nahi phir bhi Tasweer bana loon ga Aana ho to aa jao Ruswayee nahi hogi Dekhega nahi koi Palkon mai chupa loon ga Jo Hum per guzarni hai ek bar guzar jaye Her Gham ki tarha Tujh ko Seene se laga loon ga Weeran agar Dil ho Aankhon mai Andhera ho Yaadon ke Diye apni Palkon mai saja loon ga Manzoor agar hogi Ruswayi Teri Mujh ko Mai beth ke Sahil se Toofaan utha loon ga Naraz agar wo hain Mere Nasheman se Mai apne Nasheman ke Tinkon ko hata loon ga Kyun Mujh se Khafa ho ker wo Door gaye Baanhon mai wo aa jayaen mai un ko Mana loon ga

Mein Haqeeqat Houn Samajhtey Hein Woh Afsaana Mujhey
Mein Haqeeqat Houn Samajhtey Hein Woh Afsaana Mujhey Khud Jalaatey Hein Bana Kar Apna Parwaana Mujhey Gardash-e-Dauraan Se Kehdo Housh Ke Baatein Karey! Gham Ke Toofaanoun Se Bhi Aata Hey Takraana Mujhey Un Se Un Ki Bazm Mein Itna Hi Keh Ke Uthh Gaya Raunaqein Tum Ko Mubarak Aur Veeraana Mujhey Jaaney Kya Aadmi Tha, Na-Aashna Lagta Tha Woh Kar Gaya Sarey Shanasaaoun Se Be-Gaana Mujhey Aisey ChhupChhup Kar Kahan Tak Zahmat-e-Jalwa- Gari Hashar Jo Bhi Ho, Nazar Aa Be-Hijabaana Mujhey Meri Tark-e-May Kashi Per, Meri Har Tauba Ke Baad, Ehtiraaman Leney Aaya Meer-e-May Khaana Mujhey Har Naye Saaqi Ne Uff! Hasb-e-Riwayat He Diya Meray He Khoon-e-Jigar Se Bhar Ke Pemaana Mujhey Dekh Kar Iss Dil Ki Thandi Aag Mein Jaltey Howye Hogay Rukhsat Dua’ayen De Ke Parwana Mujhey

har yaad ko youn zakham banatay nahin dil ka,
har yaad ko youn zakham banatay nahin dil ka, har teer ko paivest rug-e-jaan nahin kertay, Yeh masla ab ahal-e-mohabbat ka hai apna, Mertay hain to kuch aap pay ahsaan nahin kertay, Khat layain na layain tera hum naama bron ko, Bus daikhtay rehtay hain paraishan nahin kartay, Aisay bhi tou rakhtay nahin khanjar pay gulo ko, Itna bhi to qatil ko pashaiman nahin kartay, Kub shamain jalata hai shab-e-mah main koi, Tu ayai tou ham ghar main charaghan nahin kartay, Logon ko guman tuk nahin hota hay junoon ka, Hum dil ki tarah chaak-e-garaiban nahin kertay, Hum tuj kay chalay aatay hain yaaro dar-e-janan, Ghalib ki tarah minnat-e-darban nahin kertay

Har ek lamha naya ik imtehan hai,
Har ek lamha naya ik imtehan hai, bohut na-meharban yeh aasman hai, Dilon per barf girti ja rahi hai, Badan ka tajziya bhi raiga hai, main us say baat karna chahti hon, batao to sahi woh ab kahan hai, Anaa ki rait shamil ho gayai hai, Hawa say guftugu ab raigan hai, Mujhey is ka yaqeen hargiz nahi tha, Meri janib say itna badguman hai…

usey yaad ker k na dil dukha, jo guzar gia wo guzar gia
usey yaad ker k na dil dukha, jo guzar gia wo guzar gia, kahan lout ker koi ayai ga, jo guzar gia wo guzar gia, Nayai subah hay, nayai shaab hay, naya shahar hay, naya naam hai, Woh chala gaya usay bhool jaa, jo guzar gia woh guzar gia, Koi ayai ga koi jayai ga, koi jayai ga koi ayai ga, Suno raston ki sada, jo guzar gaya wo guzar gia, Teray paas tera habai hay, jo nahin mila woh naseeb hay, Koi phool kehta hai muskura, jo guzar gaia woh guzar gia, Mujhey pat jharon ki kahanian na suna suna kay udaas ker, Nayai mausamon ka pata bata, jo guzar gia wo guzar gia, Yahan aetbar-o-yaqeen hai, yeh haqiqaton ki zameen hay, Zara dair ka koi khuwab tha, jo guzar gia wo guzar gia

Wo Khuwaab thaa bikhar gayaa Khayaal thaa milaa nahin
Wo Khuwaab thaa bikhar gayaa Khayaal thaa milaa nahin magar iss dil ko kyaa huaa, kyon bujh gayaa pataa nahin har ek din udaas din tamaam shab udaasiyaan kisi se kyaa bichar gaye k jaise kuchh bachaa nahin wo saath thaa to manzilen nazar nazar chiraaG thin qadam qadam safar mein ab koii bhii lab duaa nahin ham apane is mizaaj mein kahin bhii ghar na ho sake kisii se ham mile nahii.n kisii se dil milaa nahin hai shor-saa taraf taraf ki sarahadon kii jang mein zamii.n pe aadamii nahii.n falak pe kyaa Khudaa nahin

AHL-E-Dil Youn Bhe Nibah Lete Hain
AHL-E-Dil Youn Bhe Nibah Lete Hain Dard Seene Main Chupa Lete Hain Dil Ki Mehfil Main Ujaalon K Liye Yaad Ki Shama Jala Lete Hain Jalte Mausum Main Bhe Ye Deewane Kuch Haseen Phool Khila Lete Hain Apni Aankhon Ko Bana Ker Ye Zubaan Kitne Afsane Suna Lete Hain Jin Ko Jeena Hai Mohabbat K Liye Apni Hasti Ko Mita Lete Hain AHL-E-Dil Youn Bhe Nibah Lete Hain Dard Seene Main Chupa Lete Hain

Ussay Keh Dou Kay Woh Mujh Ko Ronay Say Mat Rokay
Ussay Keh Dou Kay Woh Mujh Ko Ronay Say Mat Rokay….. Bikhray Huwoon Ko Toofan Sanbhala Nahi Kartay… Ab Mehar Banion Ki Tumhari Tamana Nahi Humko….. Barastay Huway Baadil Kabhi Ujala Nahi Kartay….. Mat Qareeb Aao Meray Mujhe Bas Younhi Rehnay Dou… Tootay Huway Paimanay Mein Jaam Dala Nahi Kartay…… Mat Sunao Logoon Ko Meri Barbaadi Ka Qissa… Kissi Kay Dil Kay Zakhmoon Ko Younh Uchala Nahi Kartay

o mausam beet jata hai dobara kyon nahin ata
o mausam beet jata hai dobara kyon nahin ata kahin se laut ker bachpan hamara kyon nahin ata yahan anay ko to har din kissi ke saath ata hai jesay is dil ne reh reh kar pukara kyon nahin ata who jis ki lo mohabbat ki jabeen ka istara thi to phir rastay mai hamary wo roshan sitara kyon nahin ata bohat heart hai ab bagon mein jab kalian chataktin hain hamary dehyan mein lehja tumhara kyon nahin ata kabhi phelay hoay pairon se jab kirnein jhalakty hain tasawur main un ankhoon ka ishara kyon nahin ata bhatakta phir raha hoon din ke is weran jangal mein mehakti sham ka rangeen kinara kyon nahin ata

Kisi ke kam na aaye wo zindagi kya hai
Kisi ke kam na aaye wo zindagi kya hai, Adab jisme na ho shamil wo bandagi kya hai ! Mahaj tarkon se dalilon sey bat banti nahi, Wazan jisme na shagufta wo bat hi kya hai ! Unche mahalon me guzar karte hai jehan roshan, WO kya samjhege muflishon ki muflishi kya hai ! Sukhe adhnange badan fakon ko majboor hai Jo, Gaor se socho jara e bhi zindagi kya hai ! Mauj masti ko honge dost hajaron lekin, Bure din me na aaye kam wo dosti kya hai ! Kare Jo darj apana nam nahi safahon me, Makam jiska martaba na wo hasti kya hai ! Aman aur chain shakun ka jaha na dera ho, Basera khaak hai “Saqi” wo basti kya hai !!

Bewafa waqat se wafa mange
Bewafa waqat se wafa mange, Chhod! e dost tu e kya mange ! Doston se bhi dil nahi barham, Bas isi zurm ki saza mange ! Maut aaye to zindagi chahe, Zindagani me jo kaza mange ! Be-hijabi bhi be-wafayee hai, Aayeena parda-e-wafa mange ! Ab to khud ko mita liya hamne, Aur kya ab teri raza mange ! Uski neeyat me khot hai zakhmi, Aur o pyar be raya mange !!

Jo khusboo ban ke dil me bas gaya hai
Jo khusboo ban ke dil me bas gaya hai, Khuda jaane woh mujhse kyon khafa hai ! WO chehra gam se kumhlane na paye, Mere hoton pay ab bhi ye duaa hai ! Tabassum hai labon pe dil me nafarat, Yahi iss daur ka nakse wafa hai ! Judaa hokar bhi sabke sath Hun mai, Nahin maloom he kaisi saza hai ! Zamana chup hai aur bole hai “Zakhmi”, Yah uski bezubaani ka sila hai !!

Jo bhi is dil pe guzarti hai wo sab janta hai
Jo bhi is dil pe guzarti hai wo sab janta hai, Koi jaane ke na jane mera rab janta hai ! Jaaney kab usko faqiron pe taras aajye, Kuchh milega e mera daste talab janta hai ! Hazaar bar usse tod ke aajaun mai rita, Magar wo hamko bulane ka hunar janta hai ! Mai usko bhul ke zinda rahunga kaise “Saqi”, WO meri sanso ki talab ki wajah janta hai ! Mera hasna use achha nahi lagta shayad, Warna wo meri udasi ka sabab janta hai !!

Mushkilon ko karta Jo aasan hai
Mushkilon ko karta Jo aasan hai, WO asal me hi to ek insan hai ! Gham se ghabara ke Jo himmat chhod de, Buzdili ki uski to pahchan hai ! Zindagi hai ek dariya dard ka, Dard se khele wahi insan hai ! Khushali me sab yaha jee lete hai, Ghum me jeena to alag ek shan hai ! Ham bana saktey hain khud takdeer ko, Gham ham hi me josh ka elan hai ! Kahte hain eh waqt hai ek dhup chhaon, Feer bhala kyon aadami hairan hai ! Khud ko Jo samjhe ki ham kamzor hain, WO bahut nadan hai anjan hai !!

Kuchh adhuri khwahishon ka silsila hai zindagi
Kuchh adhuri khwahishon ka silsila hai zindagi, Manzilon se ek musalsal fasala hai zindagi ! Mere darwaze pe dastak de ke chhup Jane ka khel, Kab talak khelegi eh kya bachpana hai zindagi ! Tere afsane to mai sunta raha Hun baraha, Naam kya tune kabhi mera suna hai zindagi ! Zinda Hun doston ki duaaon ke bawajud, Roshan hai kitani tej hawaon is zindagi ! Apani tamam shokh adaaon ke bawajud, Bahla saki na jee mera eek pal bhi zindagi ! Bojhil hai rat chand sitaron ke bawajud, Suraj ke bawajud andhera hai zindagi ! Barbaad hamko hona tha barbad ham huye, Duniya hai sari nek salahon is zindagi ! Kaatil the jitane mere sabhi ho gaye bari, Aur chup khadi thi chasmdeed gawahon si zindagi !

Youn to shikayat khud say roz kia kertay hain
Youn to shikayat khud say roz kia kertay hain, Shaam hotay hi khud ko rok lia kertay hain Jaisay mujrim hay bina jurm karay koi, Aisa woh hum say sulook rawan rakhtay hain, Ho na jayai kahin un ka dedar hamain, Is liyay chehray ko chupa rakhtay hain, Na koi dost na sathi jub apnay paas ho, Aisay main aankh say aansu rawan rakhtay hain, Yeh dil tou hay nadaan laikin, Hum bhi mohabbat per pukhta yaqeen rakhtay hain…

Baton say bhee yeh gham kyon kam naheen hotey
Baton say bhee yeh gham kyon kam naheen hotey Aansuon sey dil k koney nam naheen hote Thee bahut umeed to apnon sey is dil ko kabhee Par hameshaa saath ye hamdam naheen hote Bebasee hansne lagee khaamoshi ab hai goonjtee Band kamron men koyee mausam naheen hote Jab khushee hai naachtee gaatee hai man kee har kalee Un gharon men kyaa kabhee maatam naheen hote Pyaar sab miltaa jinhen ranjish naheen koyee kabhee Kyaa kabhee aise dilon men gham naheen hote Yaad to karte hain unko ham sadaa hee raat din Khwaab men unke kabhee kyaa ham naheen hote

Bandh lain hathoon pay seenay pay saja lain tum ko
Bandh lain hathoon pay seenay pay saja lain tum ko, Sochtay hain k aik taveez bana lain tum ko, Phir tumhain roz sanwarain tumhain barhta daikhain, Kion na aangun main chunbaili sa laga lain tum ko, Kis qadar toot ker tum per hamain pyaar aata hay, Bhur lain banhoon main aur maar hi dalain tum ko..!

To jhuka jhuka k nazar kion milayee jati hay
To jhuka jhuka k nazar kion milayee jati hay, Banaa banaa k tamanna mitayee jaati hay, Tarah tarah say wafa aazmayee jaati hay, Hijaab un ko meri mohabbat ka aitbar nahin, To jhuka jhuka k nazar kion milayee jaati hay, Hamaray dil ka pata wo hamain nahin daitay Hamari chiz hum hi say chupai jaati hay, Saqi, Doori-e-manzil say naa-umid na hoo Manzil ab bus aa hi jaati hay

Yehi Wafaa ka silaah hai, to koi baat nahi
Yehi Wafaa ka silaah hai, to koi baat nahi Yeh dard tum ne diya hai, to koi baat nahi Yehi bohot hai ke tum dekhte ho sahil se Safeena doob raha hai, to koi baat nahi Rakha tha aashiyana-e-dil main chhupa ke tumko Woh ghar tumne chor diya hai to koi baat nahi Tum hi ne aayena-e-dil mera banaya tha Tum hi ne tod diya hai to koi baat nahi Kis kii majaal kahe koi mujh ko deewana Agar yeh tumne kaha hai to koi baat nahi

Mujeh Ye Zid nahi mere Gally ka Haar ho jao
Mujeh Ye Zid nahi mere Gally ka Haar ho jao Akhela Chor dena , tum jahaan Be-zaar ho jao Bhot Jaldi Samajh mein aany lagty ho Zamane ki Bhot Aasaan ho, thory Bhot dushwaar ho jao Mulaqakto mein wafa ls liye hona zaroori hai Ke tum ik Din Judaaee ke liye Tayaar ho jao Main Kesi Chal chalati Dhoop ke Sehra Se aya hoon Bas ab Esa karo , Tum Saya-e-Dewaar ho jao Tumhary paas deny ky liye jhoti Tasali ho Na Aay Esa Din , Tum isqadar Nadaar ho jao Tumhy Maloom ho jaye ga Kese Ranj Sehty hai Meri itni Duaa hai Kaash tum Funkaar ho jao

Woh pathar dil sahi hamara bhi ye dawa hai
Woh pathar dil sahi hamara bhi ye dawa hai Hamaray lab jinhe chu le wo pathar bol utte Raaz-e-hasti kuch nahi aksar yehi dekha gia Be-khabar hanste rahe aur ba-khabar rote rahe Me khanay ki tauheen hai rindo ki hatak Kam zarf ke haath me agar jaam diya jayai Hum karain baat daleelon se to rud hoti hai Is ke honton ki khamoshi bhi sanad hoti hai Abhi mitti na khunki thi abhi paani na barsa tha Magar bazm-e-anasir me tere hone ka charcha tha

Kisi roz tum ko bhe meri bohot yaad aai gee,
Kisi roz tum ko bhe meri bohot yaad aai gee, mager us din bohot daer ho jai gee , tum milna chaho gee mager mujh ko daikh na pao gee, tum dhoondo gee mujhe mager daikh na pao gee, tum tarpo gee meri yaad main or aansoo bahao gee. mujhe daikhe bina ik pal bhe na reh pao gee. meri yaad main tum gum sum ho jao gee, khud apni gali ka pata bhe bhool jao gee, mere tasauwur main tum aise kho jao gee, koi pukare ga tum meri hi bataen dohrao gee, or main door khara teri baychaini ko daekhta rahoon ga, or tum kuch pal ke liye mujh se khafa ho jao gee, or main teri bikhri zulfoon ko sunwaroon ga, or tum sharma kar mere gale se lag jao gee, or phir jab tum rooth kar kaheen door chali jao gee, us din me phir tum se yahee baat kahoon ga, kisi roz tum ko bhe meri bohot yaad aai gee….

Sab se chupa kar dard jo woh muskura diya
Sab se chupa kar dard jo woh muskura diya… us ki hansi ne to aaj mujhe rula diya…. lehje se uth raha tha har ik dard ka dhuaan… chehra bata raha tha k kuch ganwa diya… aawaz mein thayrao tha aankhoon mein nami thi… or keh raha tha k mein ne sab kuch bhula diya… jane kya us ko logon sey thein shikayatein… tanhaiyon ke daish mein khud ko basa diya… khud bhi woh hum sey bichar kar adhura sa ho gaya…. mujh ko bhi itne logon mein tanha bana diya…

Bohat hi yaad aata hai mere Dil ko tarpaata hai
Bohat hi yaad aata hai mere Dil ko tarpaata hai woh tera paas na hona bohat mujh ko rulaata hai woh mera teri aankhon k samander main uttar jaana aur teri muskurahat ke bhanwar main doobte jaana teri awaaz k sehar se na nikal paana tujh ko dekhna aur be-khudi se dekhte jaana bohat chaha in guzre hue lamhon ko na sochoon na teri yaad main reh k tere saath ka sochoon bhoola doon saari yaadon ko ke jin se Dil tarapta hai k jin se thees utth ti hai k jin se dard hota hai magar jab raat aati hai to teri yaad aati hai terey hi khuwaab hote hain teri hi baat hoti hai tou tay paaya ab mumkin nahi tujh ko bhoola dena teri yaad main rehna tujhe hi sochte rehna tujhe jab yaad karte hain to Dil apna tarapta hai woh tera paas na hona bohat mehsoos hota hai

Ab Agar Aao To Jaane ke Liye Mat Aana
Ab Agar Aao To Jaane ke Liye Mat Aana Sirf Ahsaan Jataane ke Liye Mat Mana Maine Palkon Pe Tamannaen Saja Rakhi Hain Dil Par Umeed ki 100 Rasmen Jala Rakhi Hain Ye Hanseen Shamen Bujhaane ke Liye Mat Aana Pyar ki Aag Main Zanjeer Pighal Sakti Hai Chahne Walon ki Takdeer Badal Sakti Hai Hoon Bebas Ye Batane ke Liye Mat Aana Mujhse Milne ki Agar Tumko Nahi Chahat koi Tum Sirf Rasmen Nibhane ke Liye Mat Aana

Baat Din Ki Nahi, Ab Raat Se Dar Lagta Hai…
Baat Din Ki Nahi, Ab Raat Se Dar Lagta Hai… Ghar Hai Kacha Mera, Barsaat Se Dar Lagta Hai… Tere Tohfay Ne To Bas Khoon Ke Aansoo Hi Diye… Zindagi Ab Teri Saughaat Se Dar Lagta Hai… Pyaar Ko Chor Ker Tum Aur Koi Baat Karo… Ab Mujhay Pyaar Ki Har Baat Se Dar Lagta Hai… Meri Khaatir Na Wo Bandnaam Kahein Ho Jaein… Iss Liye Unn Ki Mulaqaat Se Dar Lagta Hai…

Kisi ki aankh se sapne chura kar kuch nahi milta
Kisi ki aankh se sapne chura kar kuch nahi milta Mandiron se chiragon ko bujha kar kuch nahi milta Koi aik adh sapna ho to phir accha b lagta hai Hazaron khwab ankhon mei saja kar kuch nahi milta Yeh accha hai ke aapas ke bharam na tootne payein Kabhi kabhi doston ko azma kar kuch nahi milta Amal ki sookhti rag mei zara sa khoon shamil kar Mere humdam faqt batein bana kar kuch nahi milta Mujhe aksar sitaron se yeh awaz aati hai Kisike hijar mei neendein ganwa kar kuch nahi milta Jiggr ho jayega chalni yeh ankhein khoon royengi Ae dil Be’faiz logon se nibah kar kuch nahi milta

Jo na mil saka wo baywafa
Jo na mil saka wo baywafa yeh bare ajeeb si baat hai jo chala gaya mujhay chor kar wohi aaj tak mere saath hai… Wo roshni kay khayal main wo na asaka raah mian muntazir yeh khalish kahan thi visaal main mere justojoo ko khabar nahi na wo din rahay na wo raat rahay jo chala gaya mujhay chor kar wohi aaj tak mere saath hai.. Kary pyar lab pay koi gila na hoo yeh kissi kissi ka naseeb hai yeh karam hai uski jafa nahi wo juda bhi rehkay qareeb hai wo aankh hai mere ru baru ussi haath mein mera haath hai jo chala gaya mujhay chor kar wohi aaj tak mere saath hai mera nam tak jo na lay saka jo mujhay qarar na day saka jissay ikhtiyaar tau tha magar mujhay apna pyar na day saka wohi shakhs mere talassh hai wohi dard mere hayaat hai jo chala gaya mujhay chor kar wohi aaj tak meray saath ha

Pyaar ka meetha “Ehsaas” dilane laga hai tu
Pyaar ka meetha “Ehsaas” dilane laga hai tu Ab to mujh se mujhi ko churane laga hai tu Teri chahtooN ka chaaya hai saroor is qadar Har pal har jagah nazar aane laga hai tu Veeraan thi yeh zindgi tere aane se pehle Khushiyoon ke sapne mujhe dhikane laga hai tu Har pal mujhe hota hai bas tera hi “Ehsaas” Is qadar meri saansoN mein samaane laga hai tu Ek pal ki bhi doori seh nahi paata hoon main Hoke juda kyun mujhe azmaane laga hai tu Raah chalte hue aksar hota hai yeh gumaan Ke ban saaya saath mere aane laga hai tu Naam koi bhi looN to naam aaye tera labooN pe Ban ke jadu meri rooh mein samaane laga hai tu Teri yadoon se hi aksar hota hai dil munawwar mera Ghul ke saath lahoo ke nas nas mein samaane laga hai tu Jaane kaun si dor hai teri aur kheench le jaati hai Mujh ko apna deewana banaane laga hai tu Tasvvur mein aksar hota hai yeh mehsoos mujhey Chorr k duniya meri baNhooN mein samaane laga hai tu Yeh to bata ke kya naam dooN iss deewangi ko Bechain kar ke har lamha mujhey tadpaane laga hai tu Tere khayalooN se mehekne lagti hai zindagi meri Mere zehn-o-dil pe is qadar chhaane laga hai tu Yeh masoomiyat yeh bholapan yeh saadgi teri Mujh ko har adaa se ab satane laga hai tu Zeest ke rahooN mein dhoop thi har taraf Apney pyaar ki barish ko barsane laga hai tu Kya is baat ka tujhey “Ehsaas” hai “Jaan” Mere har sher mein har Gazal mein aane laga hai tu

Baaton baton mein bicharnay ka ishara ker k
Baaton baton mein bicharnay ka ishara ker k Khud bhi roya woh bohut hum say kinara ker k Sochta rehta hon tanhai mein Anjam-e-Khuloos Phir usi jurm-e-mohabbat ko dobarah ker k Jagmaga di hain teray shehar ki galiyan mein nay Apnay her ashk ko palkon pay sitara ker kay Daikh laitay hain chalo hosla apnay dil ka Aur kuch rooz teray sath guzara ker k Aik hi shehar mein rehna magar milna nahin Daikhtay hain yeh aziat gawara ker k

Dil mein ab dard-e-mohabbat k siwa kuch bhi nahin
Dil mein ab dard-e-mohabbat k siwa kuch bhi nahin zindagi meri ibadat k siwa kuch bhi nahin Mein teri baat bargah-e-naaz mein kia paish keron Meri jhooli mein mohabbat k siwa kuch bhi nahin Aey khuda mujh say na lay meray gunahon ka hisab Meray paas ashk-e-nidamat k siwa kuch bhi nahin Woh tou mit ker mujhey mil hi gayai rahat werna Zindagi ranj-o-musibat k siva kuch bhi nahin

Main sun k uski sub batain
Main sun k uski sub batain, Faqat itna hi kehta tha, Khafa hona mana laina, Yeh sadiyon say riwayat hay, Gilay shikway karo mujh say, Tumhain janan ijazat hay, Magar ik baat meri bhi, Tum yaad rakh laina, Kabhi aisa bhi hota hay, Hawa’ain rukh badalti hain, Khata’ain ho hi jati hain, Khafa hona bhi mumkin hay, Khata hona bhi mumkin hay, Hamaisha yaad rakhna tum, Ta’aluq toot janay say, Kabhi toota nahin kertay…!

Meri sanson mein teri khushboo to basee aaj bhi hai
Meri sanson mein teri khushboo to basee aaj bhi hai Dil ki khwahish hai ke tumhay choo ker phir se dekhoon Faaslay itney bhi ho jaain gai sochha hi na tha Teray ehsas mein teri tasweer mein kab tak dekhoon Kaisey dorahey per khara hoon ke aqal sakit hai Dar hai pyaron sey judai ka, khud ko tarapta dekhoon Tera ehsas-e-janoon mujh ko bhi pyara hai mager Ishq ke anjam mein apney liye azziat dekhoon Dil diwana tha kabhi tera so aaj bhi hai Teri aankhon mein wohi pyar mein phir se dekhoon Mein ne her lamha khuda se mangee hai dua Mein teray pyar ka mausam sada hi dekhoon

Bun jaon agar tum sa tumhain kaisa lagay ga
Bun jaon agar tum sa tumhain kaisa lagay ga Her pal rahon mein yadoon mein kaisa lagay ga? Dartey ho jo tum narazgi say meri ho jaon agar tum say khafa kaisa lagay ga? Tum pyar mein khud ko ho mitanay pay raazi Ban jayai agar pyar saza kaisa lagay ga ? Khud se bhi ziyadah ho yaqeen tum ko agar kisi per Woh shakhs hi dey jayai dagha kaisa lagay ga? Tum aur hi mehfil ka dia ban ker chalo phir Tanhai milay tum ko sila kaisa lagay ga ?

behar-e-ishq main doob k daikh kabhi
behar-e-ishq main doob k daikh kabhi jaam-e-mohabbat pee k daikh kabhi her taraf tera hi aks nazar ayai ga meri aankhon mein pyar say daikh kabhi ghuror hay tujhey apni zulfon ki cha’aon ka meri palkon ki chaon mein baith k daikh kabhi kaisi hoti hay tapish zamanay ki nigahon mein meray dil k aangun say bahar aa k daikh kabhi kitni hoti hay mithas jazba-e-dar guzar main, kisi rothay howay ko mana k tu daikh kabhi kerti hay kaisay khushu gul say parwaz ik bar mujh say door ja k daikh kabhi

Bana gulab to kantay chubha gaya aik shakhs,
Bana gulab to kantay chubha gaya aik shakhs, Hua chiragh to ghar hi jala gaya aik shakhs, Tamam rang meray aur saray khuwab meray, Fasanay thay k fasana bana gaya aik shakhs, Mein kis hawa main uron kis fiza mein lehraon, Dukhon key jaal her su bicha gaya aik shakhs, Mohabbaton nay kisi ki bhula rakha tha issey, Milley woh zakhm k phir yaad aa gaya aik shakhs, Khula yeh raaz k aina khana hai duniya, Aur is main mujhey tamasha bana gaya aik shakhs…!

Tumhain ab bhool hi jayain tou acha hai,
Tumhain ab bhool hi jayain tou acha hai, Yeh faslay aur bhi barh jayain tou acha hai, Tumhari chahatain hum ko nahin hasil, To ab ghair hi bun jayain tou acha hai, Hamari to umer guzri hai teri chahat main, Tu is aag main na jalay to acha hai, Barsoon se thi Dua k tu meray sath ho, Kehta hon k ab saamnay na ayai tou acha hai, Rehta tha teri mohabbat ka saya hamaray sath, Ab to apni parchi bhi sath na ayai tou acha hai, Raiza Raiza ho chuki hai roooh meri, Ke badan say ab nikal hi jayaito acha hai….!

Us nay kaha kon ho Tum?
Us nay kaha kon ho Tum? Main nay kaha Hasrat Tumari Us nay kaha Taktey ho kya? Main nay kaha Surat Tumhari Us ne kaha kartey ho kya? Main nay kaha Pooja Tumhari Us nay kaha Kaafir ho kya? Main nay kaha aisa hi sahi Us nay kaha chatey ho kya? Main nay kaha Mohabbat Tumhari Us nay kaha Pachtaoge, Main nay kaha KismatHamari Us nay Kaha Married hoon mai. Main nay kaha Sorry BAJI

Kuch door hamare saath chalo
Kuch door hamare saath chalo Hum dil ki kahani kehdein ge Samjhe na tum jisse aankhon se Woh baat zubaani kehdein ge Jo pyar karein ge jaanein ge Har baat hamari maanein ge Jo jaley na hon khudh ulfat mein Woh aag ko paani kehdein ge Jab pyaas jawan ho jaye gi Ehsaas ki manzil paye gi Khamosh rahein ge aur tumhein Hum apni kahani kehdein ge Is dil mein zara tum baitho to Kuch haal hamara poocho to Hum sada dil hain “Ashk” mager Har baat poorani kehdein ge

Usey Main Bhool Jana
Usey Main Bhool Jana Chahta Hoon
Suno ! Main Muskurana Chahta Hoon
Dukhi Rehnay Ki Aadat Ho Gai Hai
Mager Ab Gungunana chahta Hoon
Puraney Sab Taluq Toor Ker Ab
Nai Duniya Basana Chahta Hoon
Woh Nazmen Paaon Se Lipti Hain Lakin
Main Un sey Jaan Churana Chahta Hoon
Woh Sab Tohfey Woh sookhey Phool Sarey
Main Ab Un Ko Jalana Chahta Hoon
Main Utna Pass Aata Hoon Tumharey
Main Jitna Door Jana Chahta Hoon
Maery Hamdam, Haqeeqat Hai Yeh Meri
Main Teray Pass Aana Chahta Hoon
Ubhrney Ki Koi Khahish Nahin Hai
K Ab Main Doob Jana Chahta Hoon

Suno tum lot ao na
Suno tum lot ao na
woh dekho chand nikla hai
sitarai jagmagai hain
hamari muntazir ankhain
tumhain hi sochti ankhain
tumhain wapis bulati hain
Suno tum lot ao na……………
ye dil jab b dharakta hai
tumhara nam leta hai
ye ansu jab b behtay hain
tumharai dukh mai behtay hain
khushi koi jo ai b
tumharai bin adhuri hai
suno tum lot ao na
suno tum lot ao na

Usy Kehna
Bikhar Rahi Hy Meri Zaat Usy Kehna
Kbhi Milay To Yehe Baat Usy Kehna
Wo Sath Tha To Zamana Tha Hamsafr Mera
Mgar Ab Koi Nahi Mery Sath Usy Kehna
Usy Kehna K Bin Usky Din Nahi Katta
Sisik Sisik K Katti Hy Raat Usy Kehna
Usy Pukaron K Khud Hi Pohanch Jaon Usky Pass
Nahi Rahy Wo Halaat Usy Kehna
Agar Wo Phir Bhi Na Lotay To Ay Mehrban Qasid
Hamari Zeest K Halaat Usy Kehna
Her Jeet Us K Naam Kr Rahe Hoon Main
Main Mante Hoon Apni HAAR Usy Khna

“Ghum-o-dukh k ye isharay tm na samjo gay”
“Jo din hmne tmharay bin guzaray tm na samjo gay”
“Tmhen kesay batayen tm hmaray wastay kya ho”
“Samandr ki kahani mein kinaray tm na samjo gay”
“Bus itna jan lo ek shakhs say hmne mohobbat ki”
“Hmaray tootnay ka khel pyaray tm na samjo gay”
“Hazaron mushkilon say khel kr b jeetnay walay”
“Ye aakhir kis jaga pr aa k haaray tm na samjo gay”

kia Tum Jante Ho
Kia tum jantey ho
jabh sabh soya kartey the
kabhi taaron ko kabhi chanda ko
pehron main taakti rehti thi

=========CHALO*CHHORO=============
Kabhi kuch baat kehdena or kehna chalo chhoro
Kabhi kuch kehte – kehte keh dena chalo chhoro
Yeh ada\’ain tumhari khaas lagti hain na janay kyun
Kabhi socha k keh dalun kabhi socha chalo chhoro
Jatana bhi nahi aata keh yeh tumse kaisa rishta hai
Tumharay sath chalta main, phir socha chalo chhoro
Meri beqarari ka aalam kya hai kise jakar bataun main
Tha ye socha tumko bataunga phir socha chalo chhoro
Kha\’hish hai yeh meri tumhain jee bhar kar daikun main
Tumhari tasweer banata main, phir socha chalo chhoro
Jo tum rooth jao gee to ghazal keh kar mana lunga
Aisay jo manaoon to kehti ho achchha chalo chhoro
Rahe gi ummeed jab tak yeh hamaray eik honay ki
Dar hai tum keh na do ummeed ko chalo chhoro

Dono Ko Sahara Mil Jay
Toota Huwa Dil Ke Kashti Ko Tufaa Ma Kinara Mil Jay
Tu Tham Le Mera Hath Agar Dono Ko Sahara Mil Jay…!

Zamane Sa Hara Ho Apni Taqdeer Par Ga Raha Ho
Sawan Ma Barsat Zarore Hai
Mare Zindagi Ma App Zarore Hai
Tufaa Ma Kinara Zarore Hai
Humay App Ko Apnana Zarore Hai
Dobtay Ko Kinara Zarore Hai
App Ka Hum Sa Mil Jana Zarore Hai
Aaghaz Hai To Anjam Zarore Hai
Mera Kismet Ma App Ka Aana Zarore Hai
Taqdeer Ka Faisla Kya Ho! Magar
App Sa Bichar Kar Hamara Mar Jana Zarore Hai…!

Apni Taqdeer Par Ga Raha Ho
Zamane Sa Hara Ho Apni Taqdeer Par Ga Raha Ho
Sawan Ma Barsat Zarore Hai
Mare Zindagi Ma App Zarore Hai
Tufaa Ma Kinara Zarore Hai
Humay App Ko Apnana Zarore Hai
Dobtay Ko Kinara Zarore Hai
App Ka Hum Sa Mil Jana Zarore Hai
Aaghaz Hai To Anjam Zarore Hai
Mera Kismet Ma App Ka Aana Zarore Hai
Taqdeer Ka Faisla Kya Ho! Magar
App Sa Bichar Kar Hamara Mar Jana Zarore Hai…!

——–dusto har sher faraz ky khty mein na dalo——–
Agr yaqeen nhen ata to azmaye mojhe”
“woh Ayna hy to phr Ayna dkhaye mojhe”
ejhab carag hun din rat jalta rhta hun”
mein takh geya hun howa se kaho bojhay mojhe”
Mein jis ki ankh ka ansso tha us ny qadr na ki”
Bekhr gia hun to reet se uthaye
mojhe”
Bohat dino se mein in pathrun mein pathr hun”
koi to aye zara darr rolaye mojhe”
Mein chahta hun ky tum he mojhe ajazat do”
Tumhari tara se koi galy lagaye mojhe

Koi Raha Ni Ab Hamara
Khalie Hai Jam Phir Be Peya Ja Raha Ho
Tanha Ho Is Duniya Ma Phir Be Jiya Ja Raha Ho
Koi Raha Ni Ab Hamara
Phir Be Kese Ke Muskrhat Ka Liya Mout Ka Intezar Keya Ja Raha Ho..!

Zamane Sa Hara Ho Apni Taqdeer Par Ga Raha Ho
Sawan Ma Barsat Zarore Hai
Mare Zindagi Ma App Zarore Hai
Tufaa Ma Kinara Zarore Hai
Humay App Ko Apnana Zarore Hai
Dobtay Ko Kinara Zarore Hai
App Ka Hum Sa Mil Jana Zarore Hai
Aaghaz Hai To Anjam Zarore Hai
Mera Kismet Ma App Ka Aana Zarore Hai
Taqdeer Ka Faisla Kya Ho! Magar
App Sa Bichar Kar Hamara Mar Jana Zarore Hai…!

—————KABHE TO KARY GA TOBA——————
Phr na jala chrag is tez howa ky bad”
Wafa na meli us ko meri wafa ky bad”
Sakht kaprun mein ye tera narm-o-nazaq badin”
Aik our khta hy teri us khta ky bad”
sangdil wo zalm phr bhy masoum hy”
kabhe to kary ga wo toba gnah ky bad”
Hazaron sajday karta mein teri mohabbt ko snam”
“Sham”jaz nay kisi ko sajda khuda kay bad”

——–Koi sham ghr bh raha kro————–
Youheen by sabab na phra karo koi sham ghr bh raha karo”
wo ghzal ki sachhe katab hy usy cupky cupky phra karo”
Koi hath bh na malaye ga jo gale melo gay tapak say”
ye nay mazaj ka shahr hy zara fasle sy mela karo”
Abhe rah mein kaye mor han koi aye ga koi jaye ga”
tumhe jis nay dil say bhla dia usy bholny ki dua karo”
Mojhe ashthar si lagti han ye mohbton ki kahanyan”
Jo kaha nahen wo sona karo jo suna nahen wo kaha karo”
Kabhe hosun parda nashen bh ho zara Isqkana labas mein”
Jo mein ban sanwar ky chlon mery sath tum bh chla karo”
Nahen be hajab wo chand sa k nazr ka koi asar na ho”
Usy atni garme shuq sy bari deer tak na taka karo”
Ye khzan ki zard si shal mein jo udas payr hay”
Ye tumhary ghr ki bahar hay ousy aansoun se hara karo.

MERI*TARA*SY*KOI*USY*CAHATA *BH*HO
Ab tery mery bech zara fasla bh ho”
Ham log jab Melin to koi dosra bh ho”
Tu janta nai meri cahatsh ajeeb hay”
Moj ko mana raha hay kabhe khud khfa bh ho”
Tu bewafa nai magar be-wafai kar”
us ki nazar men rahny ka koch silsala bh ho”
C’hup chap us ko beth ky Daykhun tumam rat”
Jaga howa bh ho koi soya howa bh ho”
Us ky leye tu mein ny yahan tak Duayn kienӤ
Meri tarah sy koi uye cahata bh ho.

HATH CHORO **GE TO HAMESHA*K*LIYE BICHER *JAON*GA*
Itna toota hon k chonay se bikher jaon ga
Ab agar aur azmao gay to mar jaon ga”
Phool reh jain gay faqat guldanoon ki nazar”
Main to khushbo hoon hawaoon main bikher jaon ga”
Eik aarzi musafar hon main teri kashti main.”
Tu jahan muj se kahay ga main uter jaon ga”
Hath pukro gay to saya ban k sath rahon ga.”
Hath choro ge to hamesha k liye bicher jaon ga.”

MOJHE MALOM THA KY AB NAHEN AYE GA WOH
Mojhe to yad thy sab ghm shmar karta raha
”Khzan ny aa lea jab bharr karta raha”
MOJHE MALOM THA AB NAHEN AYE GA WO
”Mein be waja us ka inthzar karta raha”
Woh Mojhy khyab daykhata raha ohnch ohnch
”Mein bh pagal tha ky bas atbar karta raha”
Is sy bhr kar bh bhla or satam kia ho ga ‘sham’
Mein yahan rota raha woh sanghar karta raha.’

Na Kuch Dey Saka To Dua Dey Jawo App Ko
Har Khushi Mil Jay App Ko
Har Dua Lag Jay App Ko
Har Hussan Saj Jay App Ko
Har Wada Yakeen Dey App Ko
Har Ghum Bhula Dey App Ko
Dil Ke Arzoo Hai Kise Tarha Bhool Jawo App Ko
Na Kuch Dey Saka To Dua Dey Jawo App Ko..!

Ghum Itna Saha Nahi Jata
Mehboob Bina Raha Nahi Jata
Taqlefoo Ma Aahay Barte Chali Jati Hai
Mehboob Bina Zindagi Ghatee Chali Jate Hai

Door Ho Kar Be Mery Kitnay Pas Ha Tu
Meray Dil Ma Chupa Ek Ehsas Hai Tu
Hai Kya Khaber Ka Kitna Mery Liya Khas Ha Tu
Jena Ko Zindagi Ma Bache Aakhri Sans Ha Tu…!

Kyu Apne Zindagi Ko Barbad Kiya
Kyu Photee Taqdeer Meri
Kyu Rhoote Kismat Meri
Kyu Choote Duniya Meri
Kyu Aankhen Huwe Nam Meri
Kyu Wo Wada Tor Gaya
Kyu Apna Bana Ka Chor Gaya
Kyu Huwa Mera Sath Yah
Kyu Khoya Mena Pyar Yah
Kyu Wo Mujhy Mil Na Saka
Kyu Yah Dil Us Ka Ho Kar Be Ho N Saka
Kyu Mena Pyar Kiya
Kyu Apne Zindagi Ko Barbad Kiya

Mohbat Bant Di Us Ne Zamane Me!
Zindagi Mli Zra Si Thi”
Kuch Is Me Kami Zra Si Thi”
Wo Roz Hota Gya Paas Mere!
Lekin Phir Bhi Doori Zra Si Thi”
Chand Jagte Jagte So B Gaya!
Raat Abi Beeti Zra Si Thi”
Qasoor Chashm-e-Awara Ka Zyada Tha!
Meri To Marzi Zra Si Thi”
Mohbat Bant Di Us Ne Zamane Me!
Jo Mere Hisey Me Ayi
” ZRA SI THI”

Aanjam ka h0 khatra t0u aaghaaz badal dal0,
Taskeen na h0 jis sy w0 raaz badal dal0,
J0 raaz na rakh pa’ay hamraaz badal dalo,
Tum ny bhi suni h0gi bari aam kahaawat hai,
Aanjam ka h0 khatra t0u aaghaaz badal dal0,
Pur s0z Dil0n k0 j0 muskaan na dy pa’ay,
Sur he na milly jis main w0 saaz badal dal0,
Dushman kay irrad0n k0 hai zey’rr agar karna,
Tum khel w0hi khel0 andaaz badal dal0,
Ay D0st kar0 himmat kuch door sawera hai,
Gar chahtay h0 manzil t0u parwaaz badal dalo.

Kabhi Un ka Naam Lena
Kabhi Un Ki Baat Kerna
Mera Zauq Un Ki Chahat
Mera Shauq Un Pe Marna
Kabhi Chalte Chalte Thamna
Aur Tham k Beth Jana
Kabhi Larkhara k Girna
Aur Gir K Phir Sambhalna
Kabhi Raat Raat Rona
Kabhi Din Charhey Sisakna
Kabhi Darya Darya Rehna
Kabhi Boondh Ko Tarasna
Hamesha Koi Wasta Hy Apna
YEHI ZINDAGI HY APNI
YEHI RASTA HY APNA …!!!

Tere Ikhlaas Sy MOHABBAT Ki Hy
Tere Ehsas Sy MOHABBAT Ki Hy
Tu Mere Paas Nahi Hy Phir Bhi
Main Ny Teri Yaad Sy MOHABBAT Ki Hy
Kabhoi Tu Ny Bhi Mujhy Yaad Kia Hoga
Main Ny Un Lamhat Sy MOHABBAT Ki Hy
JinMain Hon Sirf Teri Aur Meri Baatei’n
Main Ny Us Waqt Sy MOHABBAT Ki Hy
Aur Jo Mehalty Hon Teri MOHABBAT Sy
Main Ny Un Jazbat Sy MOHABBAT Ki Hy
Tujh Sy Milna Tou Ab Haqiqat Sa Lagta Hy
MainNy Tere INtizar Sy MOHABBAT Ki Hy

Haqiqat ashna mere,
Tujhe shayad khabar ho gi?
Mujhe teri mohabbt ne,
Bohot buzdil bna dala,
Main hr us shay se darte hoon,
Tujhe jo cheen sakti hay,
Main un lamhon se darte hoon,
Judaie jin may rehti hay,
Main un ashkon se darta hoon,
Jo ban kr yad behte hen,
Main un lafzon se darta hoon,
Jo khamoshi me rhte hen,
Bicharne ki mere ham-dam,
May hr surat se darta hoon,
Tujhe shayad khabar ho gi?
Mujhe teri mohabbat ne
Bohot Buzdil Bana Dala.

Tere naam ki thi jo roshni
Usay khud hi tu ne bujha diya
Na jala saki jise dhoop b
Usay chandni ne jala diya
Main hoon grdishon mein ghira howa
Muje aap apni khabar nahi
Wo jo shakhs tha mera rahnuma
Usay raaston me ganwa diya
Jo teri nazar me ajeeb tha
Wohi shakhs tera habib tha
Tere hath ki wo lakeer tha
Usy hath se hi mita diya
Mujhe ishq hai k janun hai
Abi fesla nahi hosaka
Mera naam zenat-e-dasht tha
Mujhe aandhiyon ne mita diya..

BADAL DALO
Taskeen na ho jis se wo RAAZ BADAL DALO
Jo Raaz na Rakh paye HAMRAAZ BADAL DALO
Tum ne b suni hogi Bari Aam kahawat hai
Anjaam ka ho khatra AGHAZ BADAL DALO
Pur soz Dilon ko jo Muskan na de paye ANDAZ BADAL DALO
Ae Dost karo Himmat kuch door Sawera hai
Gar Chahte ho Manzil to PARWAAZ BADAL DALO.

Kuch yadein hain un lmhon ki
Kuch yadein hain un lmhon ki,
jin lamhon me ham sath rahe,
khushyon se bhare jazbat rahe,
ek umar guzari ha hmne,
jahan rote hue bhi hanste the,
kuch khte the,
kuch sunte the,
ham rOz subha jab milte the,
to sab ke chehre khilte the,
pur lutf wo manzer hota tha,
sab mil kar batain krte the,
ham socho kitna hanste the!
woh goonjh hmare hansne ki,
aB aik purani yad bani,
yeh batain hain un lamhon ki
jin lamhon me hm sath rahe!!

Yun sitamgar nahi hote jana.
Phool,Pathar nahi hote jana.
Q Mere dil se kahen jate ho.
Ghar se be ghar nahi hote jana.
Visal ki shab jo karam tumne kiye.
Q mukarar nahi hote jana.
Hum tumhen Bot ki tarah poojte hain!
Phir B kafir nahi hote jana.
Gham k deepak nahi jalte jab tak.
Dil munawar nahi hote jana.
Aik jese hain khushi k lamhe.
Dukh bara bar nahi hote jana.
Is qadar khoon na bahana dil ka.
Dil samandar nahi hote jana.

Kyun mohabbat ka kaam kaaj kiya
” Kyun mohabbat ka kaam kaaj kiya..
” Apna dushman yunhi samaaj kiya..
” Tu ne so baar dil ko torh diya..
” Hum ne phir B na ehtejaaj kiya..
” Tujh se mil kar B ro parhe hain Hum..
” Kaam kal ka B Hum ne aaj kiya..
” Khak hai aysi baadshahat par..
” Tere dil par agar na raaj kiya..
” Tujh ko dekha to ban gaye shaair..
” Aur apna gazal mizaaj kiya..
” Hum ne aysi gazal kahi “Baqi”
” Pesh sab ne Hamein khiraaj kiya..

Lo Suno Zindagi Ki Dastan Meri,
Meri Aankh May
JhaLak Teri,
Meri Sans May Mehek Teri,
Mere Guman May Wehem Tera,
Meri neend May Khuwab Tera,
Mere “DIL” May Dharkan Teri,
Mere Jism May Rooh Teri,
Mere SOG Me ROG Tera,
Mere Dard May Khof Tera,
Meri Tanhaie May Baaten Teri,
Mere Hathon May Lams Tera,
Mere Khyal May Jeet Teri,
Mere “ISHQ” May Baazi Teri,
Lo Suno Zindgi Ki Dastan Meri,
May Tera Or Meri Muhabbbt B Teri.

Zakar B usse kya bhala Mera.
Usse rishta hi kya raha Mera.
Aaj Mujh ko boht bura keh kar.
Aap ne naam to liya Mera.
Aakhiri baat tum se kehna hai.
Yaad rakhna na tum kaha Mera.
Ab to kuch B nahi hoon Mein wese.
Kabi wo B tha mubtila Mera.
Wo B manzil talak ponch jata.
Us ne dhundha nahi patah Mera.
Tujh se Mujh ko nijaat mil jaye.
Tu dua kar k ho bhala Mera.

Aisi lagi udaas sar-E-shaam zindagi
=> Aisi lagi udaas sar-E-shaam zindagi,
Jaisay kisi ki aankh ka ilzam zindagi.
=> Apne jahan main daikha tere baad kuch nehi,
Hum ne laga di aaj tere naam zindagi.
=> Jis k bina ye saans mujhay doobti lagi,
Ja k usay bhi dhoond kisi shaam zindagi.
=> Ye pyar dard na ban sakay jis k nashay main,
Mujh ko pila de aaj wohi jaam zindagi.
=> Ab doston k haath mere haath main nahi,
Girnay laga hoon aaj mujhay thaam ZINDAGI….!!
“MUHABAT”zakhm deti he
Dil-e-nadan ko samjhao
“MUHABAT” zakhm deti ha
Tum apni zid se baz aao
“MUHABAT” zakhm deti ha
“MUHABAT”ka safar aaghaz krne par
Tumhain hamne kahatha na
K ruk jao
“MUHABAT” zakhm deti ha
Usay shidat se chaha ha
To ye bhi zehan mein rakho
K barh jaiy agr had se to
“MUHABAT”zakhm deti he.

ksi ki yad dil me he
~ksi ki yad dil me he,
koi ehsas baqi he,
~badalte mosamon k darmiyan,
ek raz baqi he,
~abhi main safr me hun,
milay gi manzil mujhe,
~magar in raast…
…amara hal b dekho,
~hamara jism murda he,
magar ek sans baqi he,
~umid he phr b milega wo hamay ek din,
khuda par he bharosa,
ek khuda ki zaat baqi he,

“Milan!
An kahi k lehje may.
Kya nahi kaha Hum ne.
An suni k parde may.
Kya nahi suna tum ne.
Raaz jo nahi khulta,
Jaante hain Hum dono.
Dooriyon se darrna kya.
Aah sard bharna kya.
Aysi rut B aaye gi.
Jab K shakh-e-farda par.
Misl-e-gul khilen gay Hum.
Aik din milen gay Hum.

“Aarzu hi aarzu hai zindagi..
“Is tarah to sirf tu hai zindagi..
“Umar bhar parhta raha teri namaz..
“Tu na ho to be wazu hai zindagi..
“Naachti hain dair tak khamoshiyan..
“Tujh se Meri guftugu hai zindagi..
“Teri aankhen chum kar aaya hoon Mein..
“Mastiyon ki aabju hai zindagi..

Meray dil me uski muhabbat buhat thi
Magar phir bhi us ko shikayat buhat thi
Mera dard khulta b kiun kar kisi par
Mujhe muskurane ki aadat buhat thi
Meri zindagi me wo lamhay b aaye
Teri har qadam par zarurat buhat thi,
Mananay ka mujh me hunar hi nahi tha,
Par usay rooth jaanay ki aadat buhat thi.

Zamane bhar ki nafrat rasta roke karhi hai.
Mohabat se shanasai boht mehengi parhi hai.
Hamare mann may jhanko gar to jano dil ki wasaat.
Hamein to apne andar ki musafat hi barhi hai.
Khud apna ap B baqi nahi rehta Meri jan.
Kisi ko apna kehne ki saza kitni karhi hai.
KHUDA jane ye kab toote k isko tootna hai.
Wahi ek khawab si surat jo aankho may jarhi hai.
Shikast apni huwi hai apne hatho hi magar ab.
Nahi tasleem karte Hum to ye apni arhi hai

Yaad karna hai jise usko bhoola rakh hai.
Zinda khawabon ko B aankhon may sula rakha hai.
Yaad karna hai jise usko bhoola rakh hai.
Apne dil ki kahen kis se k ye diwana hai.
Khud to hansta hai magar Hum ko rula rakha hai.
Yaad uski B hawa hi se bandhi hai shayed.
Aik jhoola sa Hamein jis ne jhula rakha hai.
Kya karen Hum ko to takhliq se fursat hi nahi.
Apni majburi k dushman ko khula rakha hai.
” Saad” Kuch B to nahi apni haqiqat lekin.
Ek gubaare ki tarah dil ko phula rakha hai.

Mar mitta hoon khayal par apne.
Wajd aata hai haal par apne.
Abhi mat dijiyon jawab k Mein.
Jhoom to loon sawal par apne.
Umar bhar apni aarzu ki hai.
Mar na jaon visaal par apne.
Ek ata hai Meri hawas nigahi.
Naz kar khad-o-khaal par apne.
Jane is dam wo kis ka mumkin ho.
Bais mat kar’Muhaal par apne.
Tu B aakhir kamal ko poncha.
Mast hoon Mein’Zawal par apne.
Bas yunhi Mera gaal rakhne de.
Meri jaan! Aaj gaal par apne.

Ab Teri Yaad Se Wehshat Nhi Hoti Mujh Ko,
Zakham Khultey Hain,Ab Aziyat Nhi Hoti Mujh Ko,
Ab Koie Aaye,Chala Jaye,Main Khush Rehta Hoon,
Ab Kisi Shakhs Ki Aadat Nhi Hoti Mujh Ko,
Aisa Bdla Hoon Tere Sheher Ka Paani P Kr,
Jhoot Boloon To Nidaamat Nhi Hoti Mujh Ko,
Hay Amaanat Main Khyaanat So Kisi Ki Khatir,
Koi Mrta Hay To Hairat Nhi Hoti Mujh Ko,
Itna Msroof Hoon Jeenay Ki Hawas Main A Dost,
Saans Leney Ki B Fursat Nhi Hoti Mujh Ko..

Teri yaad Meri kitaab ho naye saal may.
Koi zakham phir se gulab ho naye saal may.
Kaei barg-e-sabz B zard patton may urh gaye.
Gaye musamon ka hisaab ho naye saal may.
Mein gubaar ban k khalaon may kahen ja chupon.
Meri yun na matti kharaab ho naye saal may.
Kisi be nawa ki nawa sune koi hukhumraan.
Kabi ye B kaar-e-sawab ho naye saal may.
Koi abar aa k baras parhe Meri aankh se.
Kisi qehet ka na azzab ho naye saal may.
Mein na jee sakoon ga haqiqaton k hisaar may.
Wahi khawab ho wahi khawab ho naye saal may.
Zara “Baqi” Shah faqir pe B ho ek nazar.
Zara uska dil B gulab ho naye saal may.

Dil ko virana kaho gaye,Mujhe malum na tha.
Phir B dil hi may raho gay,Mujhe malum na tha.
Sath duniya ka Mein chorhdon ga tumhari khaatir.
Or tum sath na ho gay,Mujhe malum na tha.
Chup jo hoon,Koi buri baat hai Mere dil may.
Tum B ye baat kaho gay,Mujhe malum na tha.
Log rote hain Meri bad nazri ka rona.
Tum B is ro may baho gay,Mujhe malum na tha.
Tum to be sabar thay aagaaz-e-mohabbat may “Hafeez”
Is qadar jabar saho gay,Mujhe malum na tha.

Aakhir ek din shad karogay?
Mera ghar aabaad karogay?
Piyar ki baaten’Visal ki raaten.
Yaad karogay yad karogay.
Kis dil se aabaad kiya tha.
Kis dil ko bardaab karogay.
Mein ne apni qimat keh di.
Tum B kuch irshad karogay?
Jab Mujhko chup lag jaye gi.
Phir tum B fariyad karogay.
Or tumhain aata hi kya hai.
Koi sitam ijaad karogay.
Mere dil may basne walo.
Tum Mujhko barbaad karogay.
Husn ko ruswa kar k maron ga.
Aakhir tum kya yaad karogay

M0habbat Phir M0habbat Hay.!
Kabhi Dil Se Nahi Jati,
Laakhon Rang Hain Is K,
Ajab Hi Dhang Hain Is k,
Kabhi Sehra, Kabhi Dariya,
Kabhi Jugnu,
Kabhi Aansu,
Hazaron Roop Rakhti Hay,
Badan Jhulsa K Jo Rakh De
Kabhi Wo Dhoop Rakhti Hay,
Kabi Ban Kr Ye Ek Jugnu,
Shab-E-Gham K Andheron May,
Dilon ko Aas Deti Hay,
Kabi Manzil Kinare Per Sadyon eK Musafir Ko
Faqat 1 Piyas Deti Hay,
Aziyat Hi Aziyat Hay,
Mohabbat Pir Mohabbat Hay
Kabi Dil Se Nahi Jati.

Hum aa k tere sheher se wapas na jayen gay.
Ye faisala kya hai tujhe dekhne k baad.
Kehte hain tujhse log masiha magar yahan.
Ek shakhs mar gaya hai tujhe dekhne k baad.
Sajdah karon k naqsh-e-qadam chumti rahoon.
Ghar Kaba ban gaya hai tujhe dekhne k baad.
Sajdah karon gi tujhko to kafir kahen gay log.
Ye kon sochta hai tujhe dekhne k baad.
Rehti hai khoi khoi si har waqt ab “Hina”
Ye haal ho gaya hai tujhe dekhne k baad.

Be ñåm müsåfir hööñ,
be nåm såfår merå,
Kis råh ñikål jåöñ, küch keh ñåhi såktå..
Beñåm meri måñzil beñåm thikåñå håi,
kis dår påy måin rük jåöñ,
küch kèh ñåi såktå..
Iss påår tö röshåñ hå sårå merå råstå,
Üs påår åñdhèrå hö,
Küch keh ñåhi såktå..
Tiñkåy ki tåråh måin bhi beh jåöñ såmåñdår måin,
mIl jåy gå kiñårå,
küch keh nåhi såktå..
Mil jåY gi tåbeer mery khåwåbööñ ki åik diñ,
YÅ KHÅWÅB BIKHÅR JÅEEÑ,
KÜCH KÉh ÑÅHì SÅKTÅ!:

>Ashk Girte hain to har sans PIGAL jati hai
De k ek Dard Neya har Sham DHAL jati hai
>Tujh ko seene se laga kar mile jannat ka Sakun
Tujh se Bicharun …
…Totti sans bhi Kuch dair SANBHAL jati hai
>Zakham bharta hi nahi teri JUDAI ka magar
Phir teri YAAD Naya Dard UGAL jati hai.

Yeh Rooh Pyasi Hamen Wirsay Main Mili Hai
Hum Dasht Ke Baasi Hain Aay Shehar Ke Logon
Yeh Rooh Pyasi Hamen Wirsay Main Mili Hai
Dukh Dard Se Sadiyon Ka Talluq Hai Hamara
Ankhon Ki Udasi Hamen Wirsay Main Mili Hai
Jaan Dena Riwayat Hai Qabeelay Ki Hamari
Yeh Surkh Libasi Hamen Wirsay Main Mili Hai
Jo Baat Bhi Kehte Hain Utar Jati Hai Dil Main
Taseer Juda Si Hamen Wirsay Main Mili Hai
Jo Hath Bhi Thaama Hai Sada Sath Raha Hai
Ehbaab Shanasi Hamen Wirsay Main Mili Hai

Koi esa pal b hua kre
Mae kahon to bs Wo suna kre
Meri furstyn mere mashghle
Sabi apne nam likha kre
Koi bat ho ksi sham ki
Koi zikr ho ksi rat ka
Jo sunane bethon Usy kabi,Wo sune to sun k hansa kre
Jo me kahon chlo us nagr
Jahan jugnuon ka hajom ho
Wo palat k dekhe meri taraf
or mujko PAGAL kaha kry.

Boht Si BeSabab Batain
Faqt Tamheed Hoti Hain
Jo Aksar TumSe Kehta Huñ
“Sunao Aur Kese Ho”
“Suno Sardi Boht Hai Naa”
“Nahi Mosam To Acha Hai”
“Chalo Acha Mai Chalta Hun”
“Doobara Fone Kr Looñ Ga”
Ye Saari BeSabab Baatain
Faqt Tamheed Hoti Hain
Aur ¡S Tamheed Mai Jaana
Guzar Jaate Hain Sab Lamhe
Guzar Jate Hain Jab Lamhe
To Phir Mai Sochta Hun K
Zra Si Baat Hi To Hai
Tmhe Jaldi Se Keh Doñ Ga
Mujhe “TUM Sey mohobat hey

Chal Chlte Hain Us Paar Sanam
Jaha Lehron ki Khmoshi Ho
Jahan Sanson Ki Madhoshi Ho
Jahan Jzbon Ki Behoshi Ho
Jahan Ankhon Se Srgoshi Ho
Chal Chlte Hain Us Paar Sanam
Ik Nai Aas Lganay Ko
Ik Dil Ki Aag bujhane Ko
Ik Doje Me Kho Jane Ko
Ik Pal K Naam Ho jane ko
Chal Chlte Hain Us Paar SaNam
Jahan Aasan Sari Rahain Hon
Jahan Ik Doje ki Bahain Hon
Jahan LabPe Sard Si Aahain Ho
Jahan pyar Ki kuch Pnahain Ho
Chal Chlte Hain Us paar Sanam.

Barsat Tumhe Baad Me Denge
Pehle Zamane ki Nafraton Ka Mushahida To Kar lo,
Mohabbat Ki Soghat Tumhe Baad Me Denge,
Jisy Parh Kar Mai Tumhe jhat Se Mil jawon,
Wo Wird Wo Aayat Tumhe Baad Me Denge,
Abhi To Hijr Ka Karrwa Zehar Tum B Piyo,
Qurbat Ka Aab-e-Hayat Tumhe Baad Me Denge,
Tum B Piyasa Reh Kar jeene Ka Fun Seekho,
Is ‘Sagar’ Se Barsat Tumhe Baad Me Denge.

Yahan jal gya mera aashian
Yahan jal gya mera aashian,
Abhi badlon ko pata nahi,
Tere dar pe dastak de sakoon,
Ye haq to tu ne dia nahi,
Main Raahi hoon raah-e-umeed ka,
Mujhey manzilon ka pata nahi,
Bebas hoon jahan me itna k,
Jaisay mera koi “APNA” nahi,
Meri saadgi mera jurm hai,
Koi aur meri khata nahi!”

Wo tera ruthna mujh se,
Mera tujh ko mana lena,
Muhabbat ki nishani hai,
Gale mujhko laga lena,
Muhabbat jis sy hoti hai,
Usi pe maan hota hai,
>abhi mein ruth jau to mujhy tum mana lena,
Anna sy dur hi rehna k,
Ye sab kuch mita degi,
Muhabbat ke samander mein kbhi tofan b uthta hai,
Is tofan mein janam mujhy kashti bana lena,
Ager dubenge hum dono tou aik sath hi debenge,
Mera tumsy ye wada hai Mager tum bhi nibha leyna.

Koi aata hai yaad bohat sone se pehle.
Jo cheen leta hai ansu mere rone se pehle..
Phir rehta hai raat bhar wo esey samne..
Mai aksar chal parta hun uska hath thaamne..
Ab neend b aay to mai sona nahi chahta..
kisi qeemat pey b mai usko khona nahi chahta..
ho jaey wo kash mera muje khone se pehle.
Jo aata hai yaad bohat soney se pehle.

Kuch ashk hmaray behny do.
Humain dard k mosam sehnay do.
Humain khushyon ka idraak nahi.
Humain pehlay jaisa rehnay do.
Ek payar ka sapna dekha ha.
Is sapnay ko such honay do.
Ek umr hui tuktay tum ko.
Per aaj laboon ko kehnay do.
Hum tum sy muhabbat kartay hain.
Humain toot k chahat karnay do…!

Ham ny to sirf tmhein sirf tmhein CHAHA,
Ham ny kabhi tmhari ankhon mein apna aks nahi dekhna chaha,
Ham ny kabhi tmhary honton sy apna nam nahi sun’na chaha,
Na ham ny kabhi ye khua’hish ki k tm hamary ansoo chuno,
Ham ny to kabhi tm sy apni wafa’on ka sila nahi chaha,
Ham ny to sirf tmhein sirf tmhein CHAHA,,

Bohat hi maan hai tum per
Suno pass_e_wafa rakhna!
Sabhi se tum milo lekin
Zara sa fasla rakhna!
Bicharna b to parta hai
Zra tum honsla rakhna!
Woh sarey wasl k lamh
Tum aankhon mai saja rakhna!
Abhi imkan baqi hai
Abi lab pe dua rakhna!
Bohat “NAYAB”hain dekho”
Hamen sab se juda rakhna!..

Meri Zindagi Ki Kitaab Wo,
Mere Har Sawal Ka Jawab Wo,
Mein Usay Parhonga Tamaam Umar,
Meri Hayat Ka Nisaab Wo,
Meri Har Dua Uss Ke Liye,
Meri Ebadaton Ka Sawaab Wo,
Mein Saara Din Usi Mein Magan,
Meri Har Raat Ka Khwab Wo,
Likhon Aur Kya Mein Uss Ki Zaat Par,
Meri Zindagi Ka unwaan Wo…!!!

Mein hosh may tha to us pay mar gaya kesay,
Yeh zaher mere laho may utar gaya kesay,
Kuch us k dil may lagawat zaror thi warna,
Woh mera haath daba k guzar gaya kesay,
Zaror uski tawajjo ki milawat thi warna,
Nashay may tha to mein apne he ghar gaya kesay,
Jisay bhulaye kai saal hogaye kamil,
Mein aaj uski gali say guzar gaya kesay…

KABHI YAD AO TO IS TARHA,
KABHI GUNGUNAO TO IS TARHA,
Mera dard phir se ghazal banay.
KABHI DIL DUKHAO TO IS TARHA,
Meri dharkanain b laraz uthain..
KABHI BHOOL JAO TO IS TARHA,
Na sisak sakain na bilak sakain..
KABHI CHOR JAO TO IS TARHA,
Na ujarr sakain, Na sanwer sakain..
KABHI YAAD AO TO IS TARHA….

Kia Tum b?
Sham ki Dehleez Pe Aas ka Deep Jalaty ho
Or Kisi Brg-e-Awara ki Ahat Pr
Drwazy ki Janib Bhagy jaty ho
Kia Tum B?
Drd Chupany Ki Koshish Krty Krty
Aksr Thk se jaty ho?
Kia Tm b?
Nend se Pehly Palkon pr Dhern Khawab Sjate ho?
Ya Phir Bekhawab Jazeeron Mai
Rotay Rotay So Jaty ho..

Daikhtay hai yay aziyat b gawara kar k
Bato bato may bichharnay ka ishara kar k,
Khud b roya wo bohat hum say kinara kar k
Sochta rehta houn Tanhae may Anjaam-E-Khaloos,
Phir usi Jurm-E-Mohabat ko dobara kar k
Jagmaga di hai teray shaiher ki galiyan mai nay,
Apnay har Ashk ko Palko pay Sitara kar k
Dekh letay hai chalo hosla apnay Dil ka,
Or kuch roz us k sath guzara kar k
Ik hi shaihar may rehna magar milna nahi”SahiL”,
Daikhtay hai yay aziyat b gawara kar k

Ab Agar Aao To Jane ke Liye Mat Aana”
Sirf Ehsaan Jatane Ke Liye Mt Ana”
Maine Palko Pe Tamanaye Sja Rakhi Hain”
Dil Mai Ummeed Ki kuch Shamein Jla Rkhi Hai”
Pyar Ki Aag Mein Zanjire Phighal Skti Hein”
Chahne Walo Ki Takdire Badal Skti Hein”
Tum Ho Bebas Ye Batane Ke Lye Mt Aana”
Ab Agr Aao To Jane Ke Lye Mt Aana.. .

Kisi se besabab uljha nhi tha.
Wo pehly to kbi aisa nhi tha
Wo phr bi yad rehna chahta tha
Agerchay mei usy bhola nhi tha
Usy b raston ka sb pata tha
Safar mera b ye pehla nhi tha
Bohat aala tha us ka zarf leki
Wo meri zat ko samja nhi tha
Mein usko dost rakhna chahta tha
Magr wo aap hi mana nhi tha
Wo jaisy berukhi se chal para tha
Mein itna b gya guzra nhi tha
Usy mein kion bura theraon yaro,
Wo acha tha,faqt mera nahi tha.

Hamari anaa ko gawara he na tha
Hamari anaa ko gawara he na tha k Mohabbat maang kar leytay
Aur Un may itna zarf na tha k bin mangay luta deytay
Aik mudat tak iss dil ki beqarariyan na gayein
Her roz Ussay khat likhtay, her roz jala deytay
Khud ko Uss ki Mohabbat k qabil he na samjha warna
Toot k Ussay aisa chahtay k khud ko bhula deytay
Kabhi aazma k deekhtay Uss ki khawahishon ki khatir
Uss k qadmon may bikhr jatay, Uss ki rahon ko saja deytay…!!

Rog aisay bhi gham-e-yaar say lag jatay hain,
Darr say uthtay hain tou dewaar say lag jatay hain,
Be-basi bhi kabhi qurbat ka sabab banti hai,
Ro na paen tou galay yaar k lag jatay hain,
Daagh daaman k hon, Dil k hon ya Chehray k ‘mohsin’,
Kuch nishaan umar ki raftaar say lag jatay hain. . .

Mujhe kesay yaqeen aaye
Mohabbat tum ne bhi ki hai ?
Tumhein jab bhi kabhi dekha sada khush bash hi paya,
Hamesha hanstay rehtay ho kabhi rotay nahin pa…
…sabz hotay hain,
Mohabbat kernay waalon k dil hamesha zard hotay hain,
To phir kaisay yakeen ker loo’n mohabbat tum ne bhi ki ha

Aaj bhi ek teray liey dil main chahatein baqi hain..
Tujhse jo karni thee woh adhuri batein baqi hain..
Tum ne kaise soch liya k humein teri talab nahi..
Dil mein utar k deikh ab bhi teri hajatein baqi hain..
Kabhi fursat milay to aa kar deikh mere makaan mein..
Aaj bhi teri khushbu, teri parchhai, teri ahatein baqi hain..
Deikh mera zarf k mein toot kar bhi bikhra nahi..
Aankh mein aansu hain magar lab per muskurahatein baki hain

KåhaÑ dil chor aaye hö!
Bohat chup chåap rehte hö!
Ñå bante Ñå sanwarte hö!
Ñå köi bäat karte hö!
Bhari mehfil men bhi åksar!
Hameshå khöye rehte hö!
Üdåsi Aånkh men le kar!
Har ek chehre kö takte hö!
Köi jab yaåd aåtå hai to!
Thåndi “ÅÅH”bhårte hö!
TÖ, khul kar kyun nahi kehte?
kisi”se pyår kårte hö.

Wo Hata Rahey Hain Parda
Sar-e-Baam Chupke Chupke
Main Nazara Kar Raha Hun
Sar-e-Sham Chupke Chupke
Na Dikhao Chalte Chalte Yu Qadam Qadam Par Shokhiyan,
Koi qtal ho rha hai sr e aam chupke chupke.
Kbi shokhian dikhana kbi unka muskrana,
Ye adaa’en kr na dalen mra kaam chupke chupke.

Apni khaatir jagay ho,soye ho..
Apni khaatir hnsay ho roye ho..
Kis liye aaj khoye khoye ho..
Tum ne aansu boht piye apnay..
Tum boht saal reh liye apnay..
*Ab meray sirf meray hoker raho.*
Ab mujhay apnay dard sehnay do..
Dil ki her baat dil se kehnay do..
Meri baanho me khud ko behnay do..
Muddaton zakhm khud siye apnay..
Tum boht saal reh liye apnay..
*Ab meray sirf meray hoker raho..*

Tumhara Aks tha DiL
“Kabhi tum khud b aa k dekho ye manzar shaam say pehley..
Ye lab kaisy Larraztay hein tumhary naam say pehlay
Nahi mumkin mein Raah-e-shoq say wapas palat jaun..
Parinday to nahi lotey kabhi ghar sham say pehlay
Nahi maloom kab say hy taluq ustawar apna
Tumhara Aks tha DiL mein tumhary Naam say pehly

K mujh se roothnay wala bhula na de mujh ko
Jala k too bhi agar aasra na de mujh ko,
Ye khauf hai k hawa phir bujha na de mujh ko.
Main is khiyal se mur mur k dekhta hoon usay,
Bichar k bhi wo kahin phir sada na de mujh ko.
Isi khiyal se shab bhar main so nahin sakta,
K khof-e-khawb-e- guzashta jaga na de mujh ko.
Tere baghair bhi teri tarah main zinda rahoon,
Ye hosla bhi dua kar Khuda na de mujh ko.
Main is liey bhi usay khud manaun ga MOHSIN,
K mujh se roothnay wala bhula na de mujh ko

Yeh dil bohat udas h koi pegaam he likh do
tum apna NAM na likho GUMNAM he likhdo
Meri kismat me gham-e-tanhai h Lakin
tamam umer na likho,magar ik shaam he likh do
Zarori to nahi k mil jaye sakun her kisi ko
Sar-e-bazam na aao sar-e-raah he millo
Yeh janta hon k umer bhar tanha mujhko rehna hai
magar pal do pal,ghari do ghari mere naam he likhdo
Chalo hum maan letay hein k saza k mustahiq hein hum
koi NAAM na likho koi ILZAM he likh do

Jin rahon pe ik umar tere sath raha hon,
Kuch roz se wo rastey sunsan bohat hain.
Mil jao kabhi laot k phir aon na tum,
Kamzor hon main rah mein toofan bohat hain.
Ik tum hi nahi meri judai mein preshaan,
Ham bhi to teri chah mein veeraan bohat hain.
Ik tark-e-wafa per main usey kaisey bhula don,
Mujh per abhi os shaks k ehsaan bohat hain.
Khushi sy Bhar aaien na ankhein to main ik bat bataon,
Ab tujh ko apnany k imkaan bohat hain..

Mujhey Jeeney ki umeed dobara dedo,
Meri doobti kashti ko kinara dedo,
Me dard k sahil per tanha khari hun,
Phir a k apni banhon ka sahara dedo,
Tera daaman to bhara hai sitaron sey,
Mujhey sadkey me ek sitara dedo,
Merey angan me aj andhera hai bohat,
Meri dehleez ko phir apna nazara dedo,
Chund Lamhey tujhey dekh ney ki hasrat hai bus
Kab me ney kaha wakt apna mujhey sara dedo.,

ZINDAGI me hr achi chez Kimti hai,
jese DIL,
jese CHAHAT,
jese MOHABAT,
jese ISHQ,
jese WAFA,
jese KHUSHI,
jese ZINDAGI,
jese APP or Apka pyar.

Lagta nahi k sath nibhae ga dair tak,
Lekin wo mujh ko bhool na pae ga dair tak,
Jo b qareeb aae ga us k usse zaroor,
Wo mari dastan sunae ga dair tak,
Dhonde ga wo mujhe inhi galiyon me aik din,
Dhonde ga or mujh ko na paae ga dair tak,
Main sahilon ki rait pe likhon ga us ka nam,
Wo panion pe naqsh banae ga dair tak,
Kis hal me hon ab us k baad main,
Sun kar use yaqeen na aaega dair tak …
Apni baahon me unko chupayenge ek din
Labon se dil ki pyas bujhayenge ek din
Na guzre fiza b apne beech se
Kuch is tarha unko seene se lagaenge ek din
Ban k parwana jale hum b
Shama ban k unko pighlayenge ek din
Rulata hai wo her baat pe hame
Kisi bat pe hum b unko
Tu khta hai ishq jhot hai,
tujay ishq ho khuda kry,
koi tujh ko us se juda kry,
teray hont hansna bhol jaen,
teri ankh purnam rha kry,
tu gali gali phira kry,
tu gli gli sada kry,
tu uski batain suna kry,
tu uski batain kia kry,
tujy hijar ki wo jhari lgay,
tu milnay ki hr pal dua kry
,tery khawab bikhrain toot kr,
tu kirche kirche chuna kry,
phir my kahon k ishq jhot hy,
tu nahi nahi kia kry.

Khuwaab khoday to teri yaadon k khanddar niklay
Khuwaab khoday to teri yaadon k khanddar niklay,
Khud main doobay to teri zaat k andar niklay,
Be wajah na thi be jaan baaton ki chahat,
Dil jo tuta to tery piyaar k mandar niklay,
Hum to samjhay thy k hongay do chaar aansu,
Ronay bethay to samandar k samandar niklay….

Mumkin hy bin mere b beeta lo ye zindgi
Mumkin hy apne saath b guzara na kr sako
Mumkin hy zehr de k ata kr do zindgi
Mumkin hy ye karam dobra na kr sako
Mumkin hy mera hukam b tumko qabool ho
Mumkin hy iltija b gawara na kr sako
Mumkin hy do kadam pe badal jaö
Mumkin hy umar bhar kinara na kr sako

Us per khushi sajti hai buhut,
Usay kehna muskraya karey,
Uski ankh num si achhi nahi lagti,
Usay kehna ghum mujhe de jaya kary,
Ye zindagi buhut taveel safar hai,
Usay kehna tanhai se kinara karey,
Zindagi uski hmain piyari hai buht,
Usy kehna kisi ko jaan se piyara na karay
Ek Raat Hui Barsaat Buhat,
Hum Roye Saari Raat Buhat,
Har Gham Tha Zamane Ka Lekin,
Hum Tanha Thay Us Raat Buhat,
Phir Aankh Se Ek Sawaan Barsa,
Jab Seher Hui Khayaal Aya,
Wo Baadal Kitna Tanha Tha,
Jo Barsa Saari Raat Buhat…………!!!

Dil ko lagatii hai dil_rubaa kii adaa
jii me.n bastii hai Khush adaa kii adaa
garche sab Khuub_ruu hai.n Khuub vale
qatl karatii hai miirazaa kii adaa
harf-e-bejaa bajaa hai gar boluu.N
dushman-e-hosh hai piyaa kii adaa
naqsh-e-diivaar kyuu.N na ho aashiq
hairat-afazaa hai bevafaa kii adaa
gul huye Gark-e-aab-e-shabanam me.n
dekh us saahib-e-hayaa kii adaa
ai “ali” dard-e-sar kii daaruu hai
mujhako us sa.ndalii qabaa kii adaa

dil aur wo bhii TuuTaa huaa dil
ab zindagii hai jiine ke qaabil
kyaa zindagii kaa ehasaas-e-shaamil
tere baGair ek Gaarat-garii dil
hotaa hai jitanaa Khuun-e-tamannaa
ba.Datii hai utanii rangiinii-e-dil
josh-e-junuu.N me.n yak saa hai dono
kyaa gard-e-sehraa, kyaa Khaak-e-ma.nzil
taqdiir-e-insaa.N aur ye zamaanaa
ek marG-e-aasaa.N aur wo bhii mushqil
lab par tabassum, aa.Nkho.n me.n aa.Nsuu
ham likh rahe.n hai.n afsaanaa-e-dil
‘taskeen’ se aksar ham bhii mile hai.n
kuchh bhii ho lekin hai saahib-e-dil

zindegi ki ghani dhoop dhelnay say pahlay
zindegi ki ghani dhoop dhelnay say pahlay
ummeedon ki khushboo bikhrnay say pahlay
aik roz kabhi hum tum say milain
usi roz chaman main phool khilain
usi roz main apnay sub qaidi
yaani dukh k sub panchi
riha karoun
azaad karoun
or dil ka nagar abaad karoun
usi roz ho youn k hum donon
hathon main dalain hathon ko
khushyon k reishmi sahil say
aashaon k gehray saagar main
khwabon k hunse rang suuraj ko
kuch deir tak ruka deikhain
waqt ko thama dekhain
or jub jis pal jis lamhay tum
mujh ko deikh k dheeray say hunse do
ser apna mairay shanay per rakh do
tab saansein mari
maira jeevan
teiray name ho jaye
or zindegi ki bus wahin per shaam ho jaye…

Badnam Zamanay main mohabat nahi kartay,
Dil walay toh dushman say bhi nafrat nahi kartay,
Ek bar jisay chaha sada uss krahay,
Hum log amanat main khiyanat nahi kartay,
Tanhai main kar latay hain yaad ansoo baha kar,
Zahir kabhi hum apni Ebadat nahi kartay,
Waqt anay par maloom yeh ho jaye ga tum ko,
Hum sirf dikhawe ki mohabat nahi kartay,
Lekhtay hain faqat ik tumharay liye ghazalain,
Har shaks pe hum aise enayyat nahin kartay

Mohabbat mar nahin sakti
sitare toot bhi jayein
sumander sookh bhi jayin
zameen ki kookh k saab Astaray
rooth bhi jayin saba,
gul aur baharoon se kinara kar nahin sakti
MOHABAT MAR NA
zamana beet jaye ga
zamanay beet jate hain
Fana ki vadyoon main ,rooz mere geet jate hain
diloon ki khetyoon ko zeher de kar bar-ha
zalim k lashkar jeet jate hain magar
nafrat ki tund-o-taiz zalim andhyoon main bhi
fiza main ik nani preet koil
daar nahin sakti
MOHABAT MAR NAHIN SAKTI

Sochnay samajhnay say,
sath sath chalnay say,
doriyan simat ti hain,
faslay nahi chaltay,
khawab khawab ankhon main,
ratjagay nahi chaltay,
darguzar k halqay main,
maslay nahi chaltay,
dosti k raston ki,
parwarish zarori hai,
dosti k rastay main,
khafgiyan nahi chalti,
do dilon ki qurbat main,
Teesra nahi hota,
wastay nahi chaltay.

Sadion say jaagi aankhon ko ek baar sulanay aa jao
Mana k tum ko pyar nahi nafrat hee jatanay aa jao
Jis mor pay hum ko chor gaye hum baithay ab tak soch rahay
Kya bhool hui kyou juda huway bus yeh samjhanay aa jao
Har lamha teri furqat mein hum tarsay rahay
Meri manoo tum is dil ko kuch pal behlanay aa jao
Mohhabat Ka ghum hota bohut Hai,
K ab Ye Lafz Bhi Ruswa bohut Hai,
Udasi Ka Sabab Main Kiya Bataon?
Gali Kochon Mein sannata bohut Hai,
Na milne Ki qasam Kha K Bhi Main Ne,
Tujhe Har Raah Mein dhunda bohut Hai,
Ye Aankhein Aur Kiya Dekhein Kisi Ko,
Inn Aankhon Ne tujhe Dekha bohut Hai,
Na Jaane Kyun Bacha Rakhe Hein Aanso,
Shayid mujhe Rona bohut hai,
Tujhe maloom To hoga mere humdum,
Tujhe Aik Shakhs Ne Chaha bohut hai.!

Apna Ehsas mar na jaye kahin
Apna Ehsas mar na jaye kahin Dard had se Guzar na jaye kahin Un ko dekhey hoye hoi Sadyan Un ka Chehra bikhar na jaye kahin Ab k Awaz doon to aa jana Dil Deewana Sudhar na jaye kahin Un ka Wada to hai magar Dil ko Darr hai k kafir mukar na jaye kahin Dard, Jugnoo, Hawa, Giley Shikwey Yeh Mukaddar Sanwar na jaye kahin Meri Dunya hai Dard ki Surat Gul ki Surat Nikhar na jaye kahin Khak se Aab tak to aa pohnchey Ab yeh Darya Utar na jaye kahin Yeh Mohabbat b ek Bala theri Hum ko Darr hai wo Darr na jaye kahin Is liye Muskuraye phirta hoon Un ki Aankh b na bhar jaye kahin Dil se guzra to hai magar Saqi Apni Jaan se guzar na jaye kahin

Phir kisi yad nay shab bhar hay jagaya mujh ko
Phir kisi yad nay shab bhar hay jagaya mujh ko Kiya saza di hay mohabat nay khudaya mujh ko Din ko aaram hay na rat ko hay chain kabhi Janay kis khaak say qudrat nay banaya mujh ko Dukh to yeh hay keh zamanay main milay ghair sabhi Jo mila hay woh mila ban kay paraya mujh ko Jab koi bhi na raha kandha meray ronay ko Ghar ki deewaron nay seenay say lagaya mujh ko Youn to umeed-e-wafa tum say nahein hay koi Phir charaghon ki tarah kis nay jalaya mujh ko Bewafa zindagi nay jab chorh diya hay tanha Maut nay payar say pehloo main bithaya mujh ko Woh diya hoon jo mohabat nay jalaya tha kabhi Gham ki andhi nay sar-e-sham bujhaya mujh ko Kaisay bhoolon ga wohi wasl kay lamhay Yad aata raha zulfon ka hi saya mujh ko

Guzar gaee raat aankhon aankhon main
Guzar gaee raat aankhon aankhon main Ho gaee mulaqaat aankhon aankhon main Sadiyoun say piyaasi thee mohabbat Ho gaee bersaat aankhon aankhon main Mil na saka tha dil kabhi dil say Ho gaee mulaqaat aankhon aankhon main Ahad-e-wafa or qasmoon ki bhi Ho gaee shuruaat aankhon aankhon main Day diya dil aik doojay ko Ho gaee soghaat aankhon aankhon main Sab rasmoon riwajoon ko Saqi Ho gaee maut aankhon aankhon main

Kamzoor badbaan hay, hawa taiz kia karain
Kamzoor badbaan hay, hawa taiz kia karain Aa apni kashtiyon ko supurd-e-khuda karain ! apni tabahiyon main hi jub apna haath ho phir dhushmano k waastay kiya bad-dua karain Shaki-e-namurad ko tarsaya umer bhar Ham say chahta tha k hum iltija karain Hamnay yun ghurbaton main raat bitayee hay sanam, Bhookay faqeer ko ab rukhsatzada karain Duniya teray faraib say jobach k nikle To sahiloon pay hum bhi namazain ada karain

Meri aankhon main raho meri aankhon main raho
Meri aankhon main raho meri aankhon main raho, Roshni ban k meray ghar k chiraghon main raho.! Tera wada bhi na siyasi ho, Ab fazaon mein na udasi ho! Chuu k qadmon ko her khushi guzray, Kash ab yun hi zindagi guzray! Tum meray sath meray din meri raaton main raho, Meri aankhon main raho meri aankhon main raho! Pyaar mera tujh say kahta hay, Dil ki dharkan mein tu hi rehta hay! Preet main teri ban k kho jaon, Meera k jaisi tu bhi hoo jayai! Ban k radha tum meri murli ki tano main raho, Meri aankhon main raho, meri aankhon main raho.!! Tujhey chaha hay tujhay chahonga, Mai na chahat say ba’az aaonga, Teri ulfat k jhulay ain jhulun, Saath tu day tou aasman chu lun, Gungunaon main tujhay, dil k taron main raho, Meri aankhon mein raho, Meri aankhon mein raho

baat chali teri aankhon say ja pohnchi paimanay tuk
baat chali teri aankhon say ja pohnchi paimanay tuk kheinch rahi hai teri ulfat, aaj mujhey maikhanay tuk ishq ki batain ghum ki batain, dunya walay kertay hain kis nay shama ka dukh dekha, kaun gaya parwanay tuk ishq nahin hay tum ko mujh say, sirf bahanay kerti ho yun hi bahanay qayam rakhna, tum meray mer jaanay tuk itna hi kehna hay tum say, mumkin ho to aa jaana, aa hi gayai tou rukna ho ga, aankhon k pathranay tuk

Aankhain khuab dekhti hain
Aankhain khuab dekhti hain Kisi say mil janey ka Ya khud ko kho denay ka Tanha reh janay ka Khud ko aar denay ka, Chahat haar denay ka Aankhain khuab dekhti hain Bichray huye lamhon ka Kisi raastay per mil janay ka Zakhmon kay sil janey ka Zamanay kay guzer janay ka Khuab kay hasil ki haqeeqat ka Haqeeqat ka khuwab main tehleel honay ka Bikhray khuabon ki takmeel ka Tum to khud ik khuwab ho Husn ka, jawani ka Ik dard bhari kahani ka!!


akhir Kar Mein Mar Hi Gaya “FARAZ”.

Kash Merey Marney Per Mujh pey Hasney Walay bhi Royai Hotay !





Tum Es shehar kay khalos say wakif nahin "“FARAZ”"

Yeh to mohsin ko bhe sar-e-aam saza detay hain......



Tere Kahloos ne bar-baad kar diya hai "“FARAZ”"

Fareb Dete tu kab ke sambhal gaye hote..!



Ye Wafa toh un dino ki baat hai "“FARAZ”"

Jab log suchay aur Makan Kachay hua kartay thay...



Wo Shakhs Mujhay Ik Pal Mein He Chor Gaya "“FARAZ”"

Jo Shakhs Ik Pal Bhi Nahi Rehta Tha Merey Baghair



Teray Honton K Taqadus Ka Khayal Aata Hai "“FARAZ”"

Warna Pholon Ko Tu Hum Choom Lia Kartay Hain



Sada rooposh rehtay hain wo pathar "“FARAZ”"

Emarat jin kay kandhon par khari hoo



kisi bewafa ki khatir ye janoon "“FARAZ”" kab tak...

jo tumhein bhula chuka hai usay tum bhi bhool jao..!



Us nai is nazakat say mairy hontou ko chooma "“FARAZ”"

Aftaari b ho gae aur roza b na toota



Apni Nakami Ka Ek Ye Bhi Sabab Hay "“FARAZ”"

Cheez Jo Bhi Mangtay hein Sab Sey Judaa Mangtay Hein



Usay Tarash Ker Heera Bana Diya Humney "“FARAZ”"

Magar Ab Yeh Sochtay Hein Usay Hum Kharedain Kaisay.



Lakh Ye Chaha K Usko Bhool Jaon Per "“FARAZ”",

HOsley Apni Jaga Be-Basi Apni Jaga



Jee Chata hay Ussay Muft may Jaan dain dain "“FARAZ”"

Itnay Masoom Kharidar say kiya leena deena



Hum to gae thay unki bewafai ka gila karne "“FARAZ”"

Jo un ki nazar jhuki pae to saare gilay dur ho gae..



Is Dar Sey Sona Chor Diya Hay "“FARAZ”"

Kay Woh Khawabon Mein bhi Bichray To Mar Jain Gey



US ko Yun Taktey Rehna Acha nahe "“FARAZ”"....

Woh Kaanch Ka Paiker Aur Pathar Teri Ankhain!!!



Gila Karein To Kissey Karein "“FARAZ”"

Wo Bewafa Sahi, Intekhaab To Mera Hi Hai..



Zindagi To Apne Hi Qadmon Pe Chalti Hai "“FARAZ”"

Auro Kay Saharey To Janazey Utha Kertay heinn.



Kaisey daikhoonga Mukhalif Ka Dukhi Chehra "“FARAZ”"?

Mujh Ko Har Khail Main Yehi Soch Hara Deti hai



Har Ek Ishq Kay Baad Aur Is Ishq Kay Baad

"“FARAZ”" Itna Bhi Aasaan Na Tha Shabhal Jana..



Log Kehtay They Faqat Ek Hay PaGaL "“FARAZ”"

Aisay Aisay Hein Mohabbat Mein Geriftar Kay Bas..



Woh Waqt Guzar GAya Jab Tere Talabgaar They Hum "“FARAZ”"

Ab Qaabaa Bhi Bano Gey to Sajda Na Karain Gey..



"“FARAZ”" Teri Is Bewafai Par Fida Hoti Hai Jaan Apni,,,,

Khuda Janay Tum Mein Agar Wafa Hoti To Kya Hota.....



Ab "“FARAZ”" Apney Maseeha Sey Bhi Umeed Na Rakh

Woh Tang DiL Hay Terey Zakham Mein Gehraee Buhut.



Mujhey Us Mitti Se KHUDA Ne Banaya Hai "“FARAZ”"

Azal K Din Se Jo Reh Gaee Thi Wafa K Leye



"“FARAZ”" Uski Hansi Main Chupay Dard Ko Mehsoos To Ker

Wo Tu Yunhi Hans Hans Kay Khud Ko Saza Deta Hai..



Neend To Dard Kay Bister Pey Bhi aa jati Hay "“FARAZ”"

Un Ki Aaghosh Mein Sar Ho Yeh Zarooori To Nahin..



Woh Shaks Mar Chuka Jis Ka Tum Pochtay Ho "“FARAZ”"

Us Ko Kisi ki Yaad Ney Zindaa JaaLa diya..



Aisi Taareekhiyaan Ankhoon Mein Basi hein "“FARAZ”"

Raat To Raat Hum Din Ko Bhi Jalatay hein Chiraagh..



Khali Haathon ko KAbhi Ghoor Sey Dekha Hay "“FARAZ”"

Kis Taraha Log Lakeeron Sey NikaaL Jatay Heinnnnnn.





Pehlay PehaL Ka Ishq Yaad Hay "“FARAZ”"

DiL Khud Chahta Tha Kay Ruswaiyaan Bhi Hoon



AaaSaib Zaada Ghar Ka Mein Woh Dar Hooon "“FARAZ”"

Deemak Ki Taraha Kha Gae jisay Dastaak Ki Tamanna..



Woh mujhe zindagi samajhta hai "“FARAZ”"

Kya usey mera eitbaar nahin..



Tum sey bicher ker zehen aisa muntashir howa "“FARAZ”"...

kay logon sey apney ghar ka patah poochna paraaa....



Wo ik SHAB jali tu usay SHAMA kehdia..

Hum barso se jal rahe hain "“FARAZ”"! Koi tu khitab do.



Tuuu Bhi Naadim Hay Zamanay Sey "“FARAZ”"

Woh Bhi Na-khush Hay Wafaaa Se Teri.......



Mein is Sey Zayada Apnay Sabar Ki Misal Kya Doun "“FARAZ”"

Woh Mujh Sey Lipat Ker Roya Bhi Tou Kisi Aur Ki Khatir



Meri Khushi Kay Lamhe Mukhtasir Hain Is Qadar "“FARAZ”"

Guzer Jattey Hainn Marey Muskraney Say Pehlay.



ab milein gay tu khoob rulaein gay us sangdil ko "“FARAZ”"

Suna hai rotay mein usko lipat janay ki aadat hai



Wo parinda jisay apni parwaz say fursat na thi "“FARAZ”"

Aaj tanha huwa tu meri hee deewar pay aa kay beth gaya



Kon Parayshan Hota Hay Tere Gum Sey "“FARAZ”"

Woh Apni Hi kisi Baat Pey Rooya Ho Gaa.........



Sochta hoon kabi terey Dil mein utar kar dekh Loun "“FARAZ”"

Kon basa hay terey dil mein jo Mujhe Basnay nahi daita....



Us ki Nigaah mein kuch aisi kashish thi "“FARAZ”"

Jab bhi uski nazar uthi, tab tab humara "Aks" nazar aaya..



Khud ko chuntay huway din saara guzar jaata hai "“FARAZ”"

Phir hawa shaam ki chalti hai to bikhar jaatey hein..



Ab Kya dhoondtay ho Jalay Huway Kaghazon Ki Raakh Mein "“FARAZ”"

Woh jis Kaa Unwan Tum They Woh Afsaana Hi JaaL GaYaa...



Faqat issi shouq mein poochi hein, hazaron baatein "“FARAZ”"

Mein tera husan tere husan-e-bayan tak dekhon..



Wafaain koi humse seekhay "“FARAZ”"

"Jisse" toot ke chaha "Usse" khabar bhi nahi..



Yeh kya kay sab say bayan dil ki haalatein karni

"“FARAZ”" tujh ko na ayein chahatein karni



Choro ye pand o nazehat hum bhi "“FARAZ”" say waqif hain,

Jis ne khudh soo zakham sahey hon us ko kia samjhayo



Baad marney kay bhi usney chora na dil jalana "“FARAZ”"

Roz phaink jati hai phool sath wali kabar per...............



Ungliya Aaj bhi is Soch mein Gum Hai "“FARAZ”"

Usney kesey nae haath ko thama Hogaaa..



Us ki Ankho Ko Kabhi Ghor sey Dekha hai "“FARAZ”"

Soney Walo ki Taraha Jagney Walo Jaisi..



hum too mohabat mein bhi tauheed key kayal hai "“FARAZ”"

Ek hee shakss koo mehboob baney rakha



Mohabbat kay bad mohabbat mumkin hai "“FARAZ”"

Per toot kay chahnaaa bas aik bar hotaaa hai...



"“FARAZ”" Dil ko Nigaaho`n Se ikhtilaaf Raha Saada

Warna Sshehar Mein HumshakaL Suurtein Buhut Thi.



Tujh Se Barh Ker Koi Nadan Nahi Hoga "“FARAZ”"

Dushman-e-Jaan ko Bhi Tu Jaan Sey Piyara Janay..



woh duniya ho,zindagi "“FARAZ”" kia kijye

k jis say ishq kero bewafa nikalti hay



kisi bewafa ki khatir yeh janoon "“FARAZ”" kab tak

jo tumhay bhula chuka hy ussy tum bhi bhool jao



In Barishoon Se Dosti Achi Nahen "“FARAZ”"

Kacha Tera Makaan Ha Kuch To Khayal Ker



Bandgi hum ne chhor di hai "“FARAZ”",

Kia karein log jab Khuda ho jaein!!!!!!



Kahin Tanha na kardey tujhe Munfarid rehne Ka shOq "“FARAZ”"...

Jab Din Dhaley tO kisi se Haal-e-Dil kehdiya kar..





Rooth Jane Ki Ada Hum ko Bhi Ati Hay "“FARAZ”"

Kash Hotaa koi Hum ko Bhi Mananey WaLaa..



Ab Ussay Roz Na Sochoon To Badan Toot-ta Hay "“FARAZ”"

Ek Umar Guzri Hay us Ki Yaad Ka Nasha Kertay Kertay..



Bara Naz Tha Un ko Apnay Parday Pe "“FARAZ”"

KaL Raat Woh Khawab Mein Sar-e-Aam Chalay Aaye..



Yehi Soch kar Uski har baat ko Such mana hai "“FARAZ”"

Kay Itne Khubsurat Lub Jhoot kaisae bolien gay ?



Uske sab Jhoot such sahi "“FARAZ”"

Shart itni hai k Wo bole tu sahi..!



Raaz-e-dil kisi ko na suna-na "“FARAZ”"

Duniya mein sab, Humraaz badal jaate hein..!



Gila Karein tu Kaise Karein "“FARAZ”"

Wo Be-wafa sahi magar Intekhaab tu Mera hai..!



Piyaas aisi k pee jaon samundar saare...

Naseeb aisa k Muyassar Zeher bhi nahi...



Wafaein koi Hum se Seekhay "“FARAZ”"

Jisse toot kar chaha, usse khabar bhi nahi...!



Tum Ho NaKhush To Yahan Kon Hay Khush Phir Bhi "“FARAZ”"

Log Rehtay hein Isi Shehar-e-DiL-e-Aazar Kay Beach.



Nahi Hay Woh Shaks Muqaddar Mein phir Bhi Usse Miltay hein "“FARAZ”"

Bara Pur-Lutf Lagta Hay Muqaddar Ko Sazaa Dainaa..



Apni Halat Ka Bhi Ehsas nahi Hay Mujhe ko "“FARAZ”"

Mein Ne Auroo Se Suna hai K Parayshan hoon Mein.



Zara si gard-e-hawas dil per lazmi hay "“FARAZ”"

Wo ishq kiya hay go daman ko pak chahta hay



rat bari mushkil se sulaya hai mein ne khud ko "“FARAZ”"...

apni ankhon ko teray khuawab ki lalach de kar...



dewana hansta hai to ise hans lene do "“FARAZ”"..

tanhai main woh roya bhi bohat hoga...



Khairat mein mili khushi mujhe Achi nahe lagti "“FARAZ”"

mein apnay dukhoon mai rehta hoon nawaboon ki Taraha..





Zabt-e-Gham koi Aasan kam nahi hai "“FARAZ”"

Aag hotay hain wo Ansoo jo piaye jatay hain



Chandi raat main or bhi shiddat say ay ge us ki yad

Behtar hai "“FARAZ”" soo jana sham se pehly



Mana k tum guftgu k mahir ho "“FARAZ”"

Wafa k Lafz pay atko to yad ker lena



us shakhs se bas etna sa taluq hai "“FARAZ”"

wo pareshan ho to hame neend nahe aate....!!



Tum ko chorne ka kabhi dil main khayal aae to "“FARAZ”"

Mein khud ko bhi waheen chor dia karta houn



Iss dafa to baarishian rukti nahin "“FARAZ”"................,

Hum nay Aanso kya piay k saray mousam ro paray.



Zabt Lazim hay magar dukh hay qayamat ka "“FARAZ”"

zalim ab ke bhe na rooye ga to mer jaeygaaa



"“FARAZ”" wo aankhen jheel si gehri to hain magar

un me koi aks meray naam ka nahi

be rukhi se us ki usay bewafa na jan

aadat ki bat or hai wo bewafa nahi...



Muddaton baad Mila tu mera Naam poch liya "“FARAZ”"!

Bicherte waqt Jisne kaha tha "Tum Buhot Yaad Aogey...!!"



Benaam Zindagi Ki Haqeeqat Na Pochiye "“FARAZ”"

Kuch Pur Khuloos Loog Thay Barbad Kar Gaye.



Zindagi to apne hi Qadmon pay chala kerti hai "“FARAZ”"

Auron k saharey to janazy utha kerty hain



Wo jis k pass rehta tha Doston ka Hajoom...............

Suna hai "“FARAZ”", kal raat ehsas-e-tanhai se mar gaya.



" Meray Shikwaoon per oss nay hans ker kaha "“FARAZ”" "

" Kis nay ki thi Wafa , Jo Hum Kertay ??



hum ne bhi is ko dekha kal sham ittefaqun

apna bhi hal hai ab logo "“FARAZ”" ka sa!





Kon daita hai umer bhar ka sahara ' "“FARAZ”" '

Log to janazay mein bhi khanda badaltay rehtay hain .....





' "“FARAZ”" ' Gham bhi naseeb waloun ko miltay hain....

her Ek kay hath mein kahan yeh khazaney hain ....



us shaks say faqt itna taaluq hai "“FARAZ”"

wo parayshaan ho to neend hameen b nahe aati



Wo bewafa na tha Youhi badnam hogaya "“FARAZ”"..

Hazaron chahany walay thay uskay Wo kis kis sy wafa karta.....



Wo Zeher Daita To Duniya Ki NAzro Mein Aa jata "“FARAZ”"..

So Us ney Yeh Kya Kay Waqt per Dawa Na di..



buhot ajeeb hain yeh bandishain mohabbat ki "“FARAZ”"

na uss nay qaid main rakha na hum faraar huway...



Main aik baar huwa La-jawab "“FARAZ”" !!

Kisi apnay nay kaha jab KON ho TUM ?



woh roz dekhtay hain doobtay huay suraj ko "“FARAZ”"

kash mein bhi kisi haseen shaam ka manzar hotaa....



shidat-e-dard say sharminda nahi meri wafa "“FARAZ”"

dost gehray hain to phir zakham bhi gehray hoon gaay..



teri iss bewafad per fida hoti hai jaan apni "“FARAZ”"..

Khuda jane agar tujh mein wafa hoti tu kya hota



roay ga is qadar woh meri laash se lipat kar "“FARAZ”"..

agar iss baat ka pata hota tu kab k maar gaay hotay



samandar main le jaa kar faraib mat dena "“FARAZ”"

tu kahe to kinary pey doob jao mein.......



Raat bari muskil sey sulaya hai khud ko main ney "“FARAZ”"..

apni ankhoon ko terey khawab ka lalach dey kar..



wahi shaks mujhe chor gaya hai "“FARAZ”"..

her roz jo kehta tha mujhe chor na jana..



kaat kar zuban meri keh raha tha woh "“FARAZ”"

ab tumhey ijazat hai haal-e-dil sunanay ki.....





Bikhar Rahe Hein Meri Zindagi K Tamam Warqh,

Na Jane Kab Koi Aandhi Ura Kar Ley Jayi,

Mein Kab Tak Doosron K Dukh Sambhal K Rakhoun "“FARAZ”",

Jis Jis K Hein Wo Nishani Bata Kay Le Jae.





Uss ki Dehleez pey Sadiooon Se khara hoon "“FARAZ”"

Mujh Se milnay kay jo Lamhaat Ginaa karta tha



Ab to tanhai ka yeh alam hay "“FARAZ”"

Koi hans kay bbhi dekhay to mohabat ka guman hota hay



wo bewafa na tha yon he badnaam ho gea "“FARAZ”",

hazaroon chahney waley they kis kis sey wafa kerta.........



Hum Log Teray Shehar Mein Khushboo Ki Tarah Hein "“FARAZ”"

Mehsoos Tu Hotay Hain Dekhai Nahi Detay



Bara Naz Tha Un Ko Apnay Parday Pay "“FARAZ”"

Kal Raat Wo Khuwab Mein Sar-E-Aam Chalay Aaye





Tum Talluq Tornay Ka Kahin Zikar Na Karna "“FARAZ”"

Mein Logon Say Keh Don Ga K Usay Fursat Nahi Milti



Hijr Ki Raat Bohat Lambi Hai "“FARAZ”"

Aao Uski Yaad Mein Thak Kay So Jaein



Aj Us Ki Tassawur Ka Alam kuch Is taraha Tha "“FARAZ”"

Kay Neend Aai To Ankhoon ney Bura Maan liya



yoon lagta hai k qismat ka sikandar hai “FARAZ”

magar andaaz hain sab khana kharaabo'n waley.





wo khatm qaid ki meyad b nai karta

magar main zehmt-e-faryad b nai karta

kabi kabi wo mujhy itna yaad ata hy "“FARAZ”"

main zid main aa k usy yaad b nai karta...





woh duniya ho,zindagi “FARAZ” kia kijye

k jis sy ishq kero bewafa nikalti hay.