Mobile World

Tuesday, April 26, 2011

Urdu Translation of Nad-e-ALI,Naad E Ali ,dua naad e ali,

Urdu Translation of Nad-e-ALI,Naad E Ali ,dua naad e ali,

Urdu Translation of Nad-e-ALI,Naad E Ali ,dua naad e ali,
The Significance of Ya Ali Madad and Naad-e Ali! May Ali Help You and Call Ali!
Dua Nad-e-Ali. Listen Online. RM Download. Mp3 Download. Nad-e-Ali Kabeer and Sagheer
Urdu Translation of Nad-e-ALI "Ajaib-e- KHUDA k jalwa bardar Hazrat ALI (A.s) ko zra pukaro tu sahi, tum har museebat aur hr bala men un ko apna mushkil
Ali Ya Ali Mushkil Kusha
Ya ALI Mola Mushkil Kusha ALI MADAD
Browsing all articles tagged with mushkil kusha Ali a.s
Mushkil Kusha Mowla Ali. O, Mowla! Mushkil Kusha Mowla Ali
Ya Ali(as) Mola Ali(as) Mushkil Kusha Mola Ali(as) - Qawali Sabri Brothers
Naad e Ali recited by Daughter of Sister Anila zaidi. NAAD-E-ALI









Mushkil main kaam aati hy Mushkil kusha a.s ki baat
KhyMber shikan ka tazkera Mushkil kusha a.s ki baat

razo-o-niyaz paish-a-hijab-a-kamaa’n thay kya
Mushkil kusha ka zikr tha Mushkil kusha ki baat

ik neend sy raza-a-Khuda le!! Khuda nay bhi
shab bhr parrha qaseeda ki Mushkil kusha ki baat

meyaar-a-haq-o-baatil-o-meezan-a-adal bhi
Mushkil kusha ka zikr ya Mushkil kusha ki baat

Tabraiz Shams , Shafaie , Shebaz or Baree
sab ka yay he vazeefa tha Mushkil kusha ki baat

ghabra na dil tu qabr main munkir nakeer sy
mushkil ggharri hy chairr dy Mushki kusha ki baat

mujh sy savaaly jaa’n na kia Izraieel ny
dil main Ali a.s tha lab py the Mushkil kusha ki baat

dunya bhi dee’n bhi haqq bhi Khuda bhi khudaai bhi
sab kuch milay ga kijiay to Mushkil kusha ki baat

virdy zabaa’n to Naady Ali a.s umr bher rahi
ya baat ki to baat main Mushkil kusha ki baat

laanat Khuda ki munkar-a-Haider !!! nahi kiiyaa
mushkil kusha ka zikr na Mushkil kusha ki baat

dushman tera halaak tha ger sir na taykta
kertay hi ban parri usy usy Mushkil kusha ki baat

merhab pukaara al-amaa’n anter laraz uttha
taigh-a-Ali sy jab suni Mushkil kusha ki baat

Musa savaal-a-noor !!! Khuda sy kia tha ku !!
Mushkil kusha sy maangtay Mushkil kusha ki baat

kis ism ki talaash main pphirta hy der bader
aazam bhi or azeem hay Mushkil kusha ki baat

tera januu abus hy tera ishq bay kamaal
dil sy agr na ker saky Mushkil kusha ki baat

tasbeeh meri darood mera or meri namaaz
mera Ali a.s hy ya meray Mushkil kusha ki baat

ku muztarib hy jan teri rooh bayqaraar
kaano sy dil ky sun kabhi Mushkil kusha ki baat

agha munaafiqqo main nahi chup saky ga tu
likkhi hy tery chehray pay Mushklil kusha ki baat

~~ 2 ~~

Malaal dil ko mery subh-o-sham rehta hy
mery siva unhain sab ka khayaal rehta hy

her ik sada meri takkra ky loat aati hy
sama’ato’n ko magr intazaar rehta hy

may nahi chand ky maathy py likhuu naam-a-Ali a.s
di machal utthy bhi to !! paas-a-adab rehta hy

na divana hi hoa na mujhy sehra hi mila
rashk Behlool ki qismat pay barra rehta hy

kitni aankhai’n hain ky sairaab hoi pyas unki
kitni aankho’n sy rvaa’n khon-a-jigar rehta hy

tu to Mola hy jahaano ka teri sab pay nazar
meyray lab per to faqat naam tera rehta hy

aan-a-vaahid ko bhi ghaafil nahi tujh sy jabky
saya bhi jism sy saa’ay may juda rehta hy

baarha dard ki shiddat sy tarrap uttha dil
tu jo mera hy to ku mujh say neha’n rehta hy

na hoay dunya kay dil sy na tery ban paayy
haif qismat pay jo rehta hy to sach rehta hy

jaanty boujhtay bhi khud ko gira dayta hu !!
tu sambhaaly ga mujhy tujh py yaqee’n rehta hy

da’ain ba’ain kabhi aagy kabhi peechay meray
sath to chalta hy per saath kaha’n rehta hy

hamsafer kaysa hy hamraaz vo damsaaz mera
baat kerta bhi nahi mehv-a-sukhan rehta hy

koi devana kahey koi pukaaray majnuu
agha bhi aik hy vo tujh may magan rehta hy

‎****~~~~~~~~~~~******~~~~~~~~~~~~****

~~ 3 ~~

Tamanna-a-sana-a-Haider_a-karrar(a.s) hy dil main
qalam aajiz hy hayraa’n lafz ik larzaa sa hy dil main

main mutlaqq aajiz-o-muflis saraapa tu ata Mola
yay teyra ishq bhi teyre ata hy bay samer dil main

vo lamha kya tha jab do hi thy ik makhlooq ik khaaliq
kiay us noor kay tukrray na ho shak koi phir dil main

utaara bhi to Kaaby main banayaa phir usay qibla
guma’n tujh per khudaie ka na ho kis trha phir dil main

agr main ubd hu teyra tu phir ku tu nahi meyra
yahi ik baat reh reh ker chubha kerti hy phir dil main

kahu main kaash !! ay Mola mujhy tujh sy mohabbat hy
na ho paas-a-adab teyra na ho khoaf-o-khatr dil main

bhula dy aap apna Shams or Shehbaz ki maanind
tabhi hota hy phir payda mohabbat ka asar dil main

main ik lehza bhi teri yad sy ghaafil na ho jaauu
yehi ik khoaf hy mujhko yehi rehta hy dar dil main

main kya januu Ali(a.s)kya hy Nabi(s.a) jaany Khuda jaany
nahi kehta nusairii ki tarha tujh ko !!magr!!!dil main

koi din ho meyri aankhain bajuz teyray na kuch daykhain
vohi vaqt-a-naza’ tehray na ho kuch or phir dil main

to phir ku gardish-a-aieyaam sy khaai’f hy tu agha
Ali(a.s)Mushkil kusha rehta hy jab banker super dil main

4 comments: