Mobile World

Thursday, April 14, 2011

ussay Apne Dard Ki Fikr Thi Jo Mera Waaqif-e-Haal Tha


ussay Apne Dard Ki Fikr Thi
Jo Mera Waaqif-e-Haal Tha

Woh Jo Us Ki Subh-e-Arooj Thi
Wo Mera Waqt-e-Zawaal Tha

Mera Dard Kaisay Wo Jaanta ?
Meri Baat Kaisay Wo Maanta

Wo To Khud Fanaa Ke Safr Main Tha
Usay Rokna Hi Muhaal Tha

Kahan Jaao Gey Mujhe Chor Kar ?
Main Yeh Pooch Pooch Kar Thak Gaya

Woh Jawab Mujhko Na De Saka
Woh To Khud Sarapaa Sawaal Tha

Wo Mila To Sadiyon Baad Bhi
Mere Lab Par Koi Gilaa Na Tha

Usay Meri Chup Ne Rula Dia
Jisay Guftgoo Main Kamaal Tha!



RUKHSAT HUA TO MEERI BAAT MAAN KER GAAYA
JO IS K PAAS THAA WOOH MUJHAY DAAAN KER GAYA


BICHRA KUCH IUS AADA SAY K RUT HI BADAL GYEE
AAIK SHAKS SAARAY SHAHER KO VIRAAN KER GAAYA


DILCHASP WAAQIA HAI K KAL AIK AAZIZ DOST
APNAY MAFAAD PER MUJHAY QURBAAN KER GAYA


KITNII SUDHER GYEE HAI JUDAAI MAIN ZINDAGI
HAAN WOOH JIFA SAY MUJH PAY TO AAHSAAN KER GAYA


MAIN BAAT BAAT PER KEHTAA THAA JIS KO JAAN
WOOH SHAKS AAKHIR MUJHAY BAYJAAN KER GAYA


kiya hai pyaar jisey hamney zindagi kee tarah
woh ashana bhee milaa hamase ajanabee kee tarah

baraa kay pyaas meri us ne haath chhor diyaa
woh kar rahaa tha murawat bhee dillagi kee tarah

kise Khabar thee baregi kuch aur taariki
chupega woh kisi badali mein chaandani kee tarah

kabhi na sochaa tha humaney "Qateel" us ke liye
karega hum pe sitam woh bhi har kisi kee tarah


har zarra e umeed se khushboo nikal aye
tanhayi k sehra main agar toon nikal aye

kaisa lagay is bar agar mausam gul main
titli ka badan oorh kay jugnu nikal aye

phir din teri yadooun ki mudeeron pe guzra
phir sham hoyi ankh se ansso nikal aye

baychane kiya rehta hai dharka yehi ji ko
tujh main na zamany ki hu nikal aye

PHIR DiL NE KiYa TaRkaY TaLuK Ka iRaDa
PhiR TuJh sE MuLaQaT KaY PehLu NiKaL AyE

No comments:

Post a Comment